Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi

Akbar Allahabadi

bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    bahut rahā hai kabhī lutf-e-yār ham par bhī

    guzar chukī hai ye fasl-e-bahār ham par bhī

    urūs-e-dahr ko aayā thā pyaar ham par bhī

    ye besvā thī kisī shab nisār ham par bhī

    biThā chukā hai zamāna hameñ bhī masnad par

    huā kiye haiñ javāhir nisār ham par bhī

    adū ko bhī jo banāyā hai tum ne mahram-e-rāz

    to faḳhr kyā jo huā e'tibār ham par bhī

    ḳhatā kisī ho lekin khulī jo un zabāñ

    to ho jaate haiñ do ek vaar ham par bhī

    ham aise rind magar ye zamāna hai vo ġhazab

    ki Daal diyā duniyā baar ham par bhī

    hameñ bhī ātish-e-ulfat jalā chukī 'akbar'

    harām ho ga.ī dozaḳh naar ham par bhī

    bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi

    guzar chuki hai ye fasl-e-bahaar hum par bhi

    urus-e-dahr ko aaya tha pyar hum par bhi

    ye beswa thi kisi shab nisar hum par bhi

    biTha chuka hai zamana hamein bhi masnad par

    hua kiye hain jawahir nisar hum par bhi

    adu ko bhi jo banaya hai tum ne mahram-e-raaz

    to faKHr kya jo hua e'tibar hum par bhi

    KHata kisi ki ho lekin khuli jo un ki zaban

    to ho hi jate hain do ek war hum par bhi

    hum aise rind magar ye zamana hai wo ghazab

    ki Dal hi diya duniya ka bar hum par bhi

    hamein bhi aatish-e-ulfat jala chuki 'akbar'

    haram ho gai dozaKH ki nar hum par bhi

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    bahut raha hai kabhi lutf-e-yar hum par bhi Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now