Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha

Akbar Hyderabadi

bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    bas ik tasalsul-e-takrār-e-qurb-o-dūrī thā

    visāl o hijr har marhala ubūrī thā

    mirī shikast bhī thī merī zaat se mansūb

    ki merī fikr har faisla shu.ūrī thā

    thī jiitī jāgtī duniyā mirī mohabbat

    na ḳhvāb vo aalam ki lā-shu.ūrī thā

    ta.alluqāt meñ aisā bhī ek moḌ aayā

    ki qurbatoñ pe bhī dil ko gumān-e-dūrī thā

    rivāyatoñ se kināra-kashī bhī lāzim thī

    aur ehtirām-e-rivāyāt bhī zarūrī thā

    mashīnī daur ke āzār se huā sābit

    ki aadmī malāl aadmī se duurī thā

    khulā hai kab koī jauhar hijāb meñ 'akbar'

    guhar ke baab meñ tark-e-sadaf zarūrī thā

    bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha

    visal o hijr ka har marhala uburi tha

    meri shikast bhi thi meri zat se mansub

    ki meri fikr ka har faisla shuuri tha

    thi jiti jagti duniya meri mohabbat ki

    na KHwab ka sa wo aalam ki la-shuuri tha

    talluqat mein aisa bhi ek moD aaya

    ki qurbaton pe bhi dil ko guman-e-duri tha

    riwayaton se kinara-kashi bhi lazim thi

    aur ehtiram-e-riwayat bhi zaruri tha

    mashini daur ke aazar se hua sabit

    ki aadmi ka malal aadmi se duri tha

    khula hai kab koi jauhar hijab mein 'akbar'

    guhar ke bab mein tark-e-sadaf zaruri tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bas ek tasalsul-e-takrar-e-qurb-o-duri tha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now