Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas koi aisi kami sare safar mein rah gai

Adeem Hashmi

bas koi aisi kami sare safar mein rah gai

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    bas koī aisī kamī saare safar meñ rah ga.ī

    jaise koī chiiz chalte vaqt ghar meñ rah ga.ī

    kaun ye chaltā hai mere saath be-jism-o-sadā

    chaap ye kis mirī har rahguzar meñ rah ga.ī

    gūñjte rahte haiñ tanhā.ī meñ bhī dīvār-o-dar

    kyā sadā us ne mujhe thī ki ghar meñ rah ga.ī

    aur to mausam guzar kar chukā vaadī ke paar

    bas zarā barf har sūkhe shajar meñ rah ga.ī

    raat dariyā meñ phir ik sho.ala chakrātā rahā

    phir koī jaltī huī kashtī bhañvar meñ rah ga.ī

    raat bhar hotā rahā hai kin ḳhazānoñ nuzūl

    motiyoñ jhalak har barg-e-tar meñ rah ga.ī

    lauT kar aa.e na kyuuñ jaate hue lamhe 'adīm'

    kyā kamī merī sadā-e-be-asar meñ rah ga.ī

    bas koi aisi kami sare safar mein rah gai

    jaise koi chiz chalte waqt ghar mein rah gai

    kaun ye chalta hai mere sath be-jism-o-sada

    chap ye kis ki meri har rahguzar mein rah gai

    gunjte rahte hain tanhai mein bhi diwar-o-dar

    kya sada us ne mujhe di thi ki ghar mein rah gai

    aur to mausam guzar kar ja chuka wadi ke par

    bas zara si barf har sukhe shajar mein rah gai

    raat dariya mein phir ek shoala sa chakraata raha

    phir koi jalti hui kashti bhanwar mein rah gai

    raat bhar hota raha hai kin KHazanon ka nuzul

    motiyon ki si jhalak har barg-e-tar mein rah gai

    lauT kar aae na kyun jate hue lamhe 'adim'

    kya kami meri sada-e-be-asar mein rah gai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bas koi aisi kami sare safar mein rah gai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now