aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

Abrar Ahmad

humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

Abrar Ahmad

MORE BYAbrar Ahmad

    ham ne rakkhā thā jise apnī kahānī meñ kahīñ

    ab vo tahrīr hai aurāq-e-ḳhizānī meñ kahīñ

    bas ye ik sā.at-e-hijrāñ hai ki jaatī nahīñ

    koī Thahrā bhī hai is ālam-e-fānī meñ kahīñ

    jitnā sāmāñ bhī ikaTThā kiyā is ghar ke liye

    bhuul jā.eñge use naql-e-makānī meñ kahīñ

    ḳhair auroñ to kyā zikr ki ab lagtā hai

    bhī shāmil hai mire ranj-e-zamānī meñ kahīñ

    chashm-e-namnāk ko is darja haqārat se na dekh

    tujh ko mil jaanā hai ik din isī paanī meñ kahīñ

    markaz-e-jāñ to vahī hai magar tere sivā

    log haiñ aur bhī is yaad purānī meñ kahīñ

    jashn-e-mātam bhī hai raunaq tamāshā.ī ko

    koī naġhma bhī hai is marsiya-ḳhvānī meñ kahīñ

    aaj ke din meñ kisī aur din hai jhalak

    shaam hai aur is shaam suhānī meñ kahīñ

    kyā samajh aa.e kisī ko mujhe mālūm bhī hai

    baat kar jaatā huuñ maiñ apnī ravānī meñ kahīñ

    hum ne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

    ab wo tahrir hai auraq-e-KHizani mein kahin

    bas ye ek saat-e-hijran hai ki jati hi nahin

    koi Thahra bhi hai is aalam-e-fani mein kahin

    jitna saman bhi ikaTTha kiya is ghar ke liye

    bhul jaenge use naql-e-makani mein kahin

    KHair auron ka to kya zikr ki ab lagta hai

    tu bhi shamil hai mere ranj-e-zamani mein kahin

    chashm-e-namnak ko is darja haqarat se na dekh

    tujh ko mil jaana hai ek din isi pani mein kahin

    markaz-e-jaan to wahi tu hai magar tere siwa

    log hain aur bhi is yaad purani mein kahin

    jashn-e-matam bhi hai raunaq si tamashai ko

    koi naghma bhi hai is marsiya-KHwani mein kahin

    aaj ke din mein kisi aur hi din ki hai jhalak

    sham hai aur hi is sham suhani mein kahin

    kya samajh aae kisi ko mujhe malum bhi hai

    baat kar jata hun main apni rawani mein kahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    humne rakkha tha jise apni kahani mein kahin Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now