aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja

Ehsan Danish

hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    hañgāma-e-ḳhudī se be-niyāz ho

    gum ho ke be-ḳhudī meñ āgāh-e-rāz ho

    had bhī to chāhiye kuchh be-e'tinā.iyoñ

    ġhārat-gar-e-tahammul taskīñ-navāz ho

    ai sarmadī tarāne har shai meñ soz bhar de

    ye kis ne kah diyā hai pāband-e-sāz ho

    ġhairat chilmanoñ se āvāz aa rahī hai

    mahv-e-niyāz-mandī aa be-niyāz ho

    aa mil ke phir banā.eñ mai-ḳhāna-e-mohabbat

    maiñ jur.a-kash banūñ paimāna-sāz ho

    siine meñ soz ban kar kab tak chhupā rahegā

    unvān-e-rāzdārī tafsīl-e-rāz ho

    ab so chukī ummīdeñ ab thak chukīñ nigāheñ

    jān-e-niyāz-mandī masrūf-e-nāz ho

    soz-e-nazar se chhalkeñ naġhmāt-e-rāz-e-hastī

    ai uqda-e-taġhāful rūdād-e-nāz ho

    'ehsān' kaash uTTheñ ye rañg-o-bū ke parde

    ai mahfil-e-haqīqat bazm-e-majāz ho

    hangama-e-KHudi se tu be-niyaz ho ja

    gum ho ke be-KHudi mein aagah-e-raaz ho ja

    had bhi to chahiye kuchh be-e'tinaiyon ki

    ghaarat-gar-e-tahammul taskin-nawaz ho ja

    ai sarmadi tarane har shai mein soz bhar de

    ye kis ne kah diya hai paband-e-saz ho ja

    ghairat ki chilmanon se aawaz aa rahi hai

    mahw-e-niyaz-mandi aa be-niyaz ho ja

    aa mil ke phir banaen mai-KHana-e-mohabbat

    main jura-kash banun tu paimana-saz ho ja

    sine mein soz ban kar kab tak chhupa rahega

    unwan-e-raazdari tafsil-e-raaz ho ja

    ab so chuki ummiden ab thak chukin nigahen

    jaan-e-niyaz-mandi masruf-e-naz ho ja

    soz-e-nazar se chhalken naghmat-e-raaz-e-hasti

    ai uqda-e-taghaful rudad-e-naz ho ja

    'ehsan' kash uTThen ye rang-o-bu ke parde

    ai mahfil-e-haqiqat bazm-e-majaz ho ja

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now