Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein

Ibn e Insha

jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    jaane kyā DhūñDh rahā hai bastī meñ vīrāne meñ

    lailā to ai qais milegī dil ke daulat-ḳhāne meñ

    janam janam ke sātoñ dukh haiñ us ke māthe par tahrīr

    apnā aap miTānā hogā ye tahrīr miTāne meñ

    mahfil meñ us shaḳhs ke hote kaif kahāñ se aatā hai

    paimāne se āñkhoñ meñ āñkhoñ se paimāne meñ

    kis kis haal sunāyā ne ai afsāna-go

    ham ne ek tujhī ko DhūñDā is saare afsāne meñ

    is bastī meñ itne ghar the itne chehre itne log

    aur kisī ke dar pe na pahuñchā aisā hosh divāne meñ

    jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein

    laila to ai qais milegi dil ke daulat-KHane mein

    janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir

    apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein

    mahfil mein us shaKHs ke hote kaif kahan se aata hai

    paimane se aankhon mein ya aankhon se paimane mein

    kis ka kis ka haal sunaya tu ne ai afsana-go

    hum ne ek tujhi ko DhunDa is sare afsane mein

    is basti mein itne ghar the itne chehre itne log

    aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh diwane mein

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now