aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujhko teri talash kyun hai

Javed Akhtar

kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujhko teri talash kyun hai

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    kabhī kabhī maiñ ye sochtā huuñ ki mujh ko terī talāsh kyuuñ hai

    ki jab haiñ saare taar TuuTe to saaz meñ irti.āsh kyuuñ hai

    koī agar pūchhtā ye ham se batāte ham gar to kyā batāte

    bhalā ho sab ki ye na pūchhā ki dil pe aisī ḳharāsh kyuuñ hai

    uThā ke hāthoñ se tum ne chhoḌā chalo na dānista tum ne toḌā

    ab ulTā ham se to ye na pūchho ki shīsha ye paash paash kyuuñ hai

    ajab do-rāhe pe zindagī hai kabhī havas dil ko khīñchtī hai

    kabhī ye sharmindagī hai dil meñ ki itnī fikr-e-ma.āsh kyuuñ hai

    na fikr koī na justujū hai na ḳhvāb koī na aarzū hai

    ye shaḳhs to kab mar chukā hai to be-kafan phir ye laash kyuuñ hai

    kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujh ko teri talash kyun hai

    ki jab hain sare hi tar TuTe to saz mein irtiash kyun hai

    koi agar puchhta ye hum se batate hum gar to kya batate

    bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi KHarash kyun hai

    uTha ke hathon se tum ne chhoDa chalo na danista tum ne toDa

    ab ulTa hum se to ye na puchho ki shisha ye pash pash kyun hai

    ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi hawas dil ko khinchti hai

    kabhi ye sharmindagi hai dil mein ki itni fikr-e-maash kyun hai

    na fikr koi na justuju hai na KHwab koi na aarzu hai

    ye shaKHs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye lash kyun hai

    RECITATIONS

    Javed Akhtar

    Javed Akhtar,

    Javed Akhtar

    kabhii kabhii mai.n ye sochtaa huu.n ki mujh ko terii talaash kyuu.n hai Javed Akhtar

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now