aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

Hasrat Mohani

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    ḳhū samajh meñ nahīñ aatī tire dīvānoñ

    dāmanoñ na ḳhabar hai na girebānoñ

    jalva-e-sāġhar-o-mīnā hai jo ham-rañg-e-bahār

    raunaqeñ turfa taraqqī pe haiñ mai-ḳhānoñ

    har taraf be-ḳhudī o be-ḳhabarī hai numūd

    qābil-e-dīd hai duniyā tire hairānoñ

    sahl is se to yahī hai ki sambhāleñ dil ko

    minnateñ kaun kare aap ke darbānoñ

    aañkh vaale tirī sūrat pe miTe jaate haiñ

    sham-e-mahfil taraf bhiiḌ hai parvānoñ

    ai jafākār tire ahd se pahle to na thī

    kasrat is darja mohabbat ke pashīmānoñ

    rāz-e-ġham se hameñ āgāh kiyā ḳhuub kiyā

    kuchh nihāyat nahīñ aap ke ehsānoñ

    dushman-e-ahl-e-muravvat hai vo begāna-e-uns

    shakl pariyoñ hai ḳhū bhī nahīñ insānoñ

    hamrah-e-ġhair mubārak unheñ gul-gasht-e-chaman

    sair ham ko bhī mayassar hai bayābānoñ

    ik bakheḌā hai nazar meñ sar-o-sāmān-e-vajūd

    ab ye hālat hai tire soḳhta-sāmānoñ

    faiz-e-sāqī ajab dhuum hai mai-ḳhānoñ meñ

    har taraf mai talab maañg hai paimānoñ

    āshiqoñ jigar hai ki haiñ ḳhursañd-e-jafā

    kāfiroñ hai ye himmat na musalmānoñ

    yaad phir taaza huī haal se tere 'hasrat'

    qais o farhād ke guzre hue afsānoñ

    KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

    damanon ki na KHabar hai na girebanon ki

    jalwa-e-saghar-o-mina hai jo ham-rang-e-bahaar

    raunaqen turfa taraqqi pe hain mai-KHanon ki

    har taraf be-KHudi o be-KHabari ki hai numud

    qabil-e-did hai duniya tere hairanon ki

    sahl is se to yahi hai ki sambhaalen dil ko

    minnaten kaun kare aap ke darbanon ki

    aankh wale teri surat pe miTe jate hain

    sham-e-mahfil ki taraf bhiD hai parwanon ki

    ai jafakar tere ahd se pahle to na thi

    kasrat is darja mohabbat ke pashimanon ki

    raaz-e-gham se hamein aagah kiya KHub kiya

    kuchh nihayat hi nahin aap ke ehsanon ki

    dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns

    shakl pariyon ki hai KHu bhi nahin insanon ki

    hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman

    sair hum ko bhi mayassar hai bayabanon ki

    ek bakheDa hai nazar mein sar-o-saman-e-wajud

    ab ye haalat hai tere soKHta-samanon ki

    faiz-e-saqi ki ajab dhum hai mai-KHanon mein

    har taraf mai ki talab mang hai paimanon ki

    aashiqon hi ka jigar hai ki hain KHursand-e-jafa

    kafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki

    yaad phir taza hui haal se tere 'hasrat'

    qais o farhad ke guzre hue afsanon ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now