aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko par utara tumne kis ko par utaroge

Ibn e Insha

kis ko par utara tumne kis ko par utaroge

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    kis ko paar utārā tum ne kis ko paar utāroge

    mallāho tum pardesī ko biich bhañvar meñ māroge

    muñh dekhe mīThī bāteñ sunte itnī umr huī

    aañkh se ojhal hote hote se hameñ bisāroge

    aaj to ham ko pāgal kah lo patthar pheñko tanz karo

    ishq baazī khel nahīñ hai kheloge to hāroge

    ahl-e-vafā se tark-e-ta.alluq kar lo par ik baat kaheñ

    kal tum in ko yaad karoge kal tum inheñ pukāroge

    un se ham se pyaar rishta ai dil chhoḌo bhuul chuko

    vaqt ne sab kuchh meT diyā hai ab kyā naqsh ubhāroge

    'inshā' ko kisī soch meñ Duube dar par baiThe der huī

    kab tak us ke baḳht ke badle apne baal sañvāroge

    kis ko par utara tum ne kis ko par utaroge

    mallaho tum pardesi ko bich bhanwar mein maroge

    munh dekhe ki miThi baaten sunte itni umr hui

    aankh se ojhal hote hote ji se hamein bisaroge

    aaj to hum ko pagal kah lo patthar phenko tanz karo

    ishq ki bazi khel nahin hai kheloge to haaroge

    ahl-e-wafa se tark-e-talluq kar lo par ek baat kahen

    kal tum in ko yaad karoge kal tum inhen pukaroge

    un se hum se pyar ka rishta ai dil chhoDo bhul chuko

    waqt ne sab kuchh meT diya hai ab kya naqsh ubhaaroge

    'insha' ko kisi soch mein Dube dar par baiThe der hui

    kab tak us ke baKHt ke badle apne baal sanwaroge

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kis ko par utara tumne kis ko par utaroge Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now