Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla

Ahmad Faraz

kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    kisī jānib se bhī parcham na lahū niklā

    ab ke mausam meñ bhī aalam vahī niklā

    dast-e-qātil se kuchh ummīd-e-shafā thī lekin

    nok-e-ḳhanjar se bhī kāñTā na gulū niklā

    ishq ilzām lagātā thā havas par kyā kyā

    ye munāfiq bhī tire vasl bhūkā niklā

    nahīñ chāhtā mai-ḳhāne ko jaa.eñ jab se

    shaiḳh bhī bazm-nashīñ ahl-e-subū niklā

    dil ko ham chhoḌ ke duniyā taraf aa.e the

    ye shabistāñ bhī isī ġhāliya-mū niklā

    ham abas sozan-o-rishta liye galiyoñ meñ phire

    kisī dil meñ na koī kaam rafū niklā

    yār-e-be-faiz se kyuuñ ham ko tavaqqo thī 'farāz'

    jo na apnā na hamārā na adū niklā

    kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla

    ab ke mausam mein bhi aalam wahi hu ka nikla

    dast-e-qatil se kuchh ummid-e-shafa thi lekin

    nok-e-KHanjar se bhi kanTa na gulu ka nikla

    ishq ilzam lagata tha hawas par kya kya

    ye munafiq bhi tere wasl ka bhuka nikla

    ji nahin chahta mai-KHane ko jaen jab se

    shaiKH bhi bazm-nashin ahl-e-subu ka nikla

    dil ko hum chhoD ke duniya ki taraf aae the

    ye shabistan bhi isi ghaaliya-mu ka nikla

    hum abas sozan-o-rishta liye galiyon mein phire

    kisi dil mein na koi kaam rafu ka nikla

    yar-e-be-faiz se kyun hum ko tawaqqo thi 'faraaz'

    jo na apna na hamara na adu ka nikla

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now