aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar

Syed Aabid Ali Aabid

kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar

Syed Aabid Ali Aabid

MORE BYSyed Aabid Ali Aabid

    kisī ishva-garī se ba-ġhair-e-fasl-e-bahār

    sabhī chaak girebāñ hai dekhiye kyā ho

    tumheñ ḳhabar nahīñ ai tuyūr-e-naġhma-sarā

    yahī chaman yahī zindāñ hai dekhiye kyā ho

    jahāñ kashūd-e-navā par ḳhizāñ ke pahre haiñ

    vahīñ bahār-e-ġhazal-ḳhvāñ hai dekhiye kyā ho

    subū uThā ki ye nāzuk maqām hai saaqī

    na ahrman hai na yazdāñ hai dekhiye kyā ho

    ravāñ hai mauj-e-gul-o-lāla mauj-e-ḳhūñ tarah

    chaman shahīd-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho

    darāzi-e-shab-e-hijrāñ se mujh ko ḳhauf na thā

    kisī zulf-e-pareshāñ hai dekhiye kyā ho

    havā rañg ye hai āshiyāñ to ek taraf

    qafas bhī shāḳh pe larzāñ hai dekhiye kyā ho

    yahī hai dil se shikāyat ki merā mahram-e-rāz

    mujhī se dast-o-girebāñ hai dekhiye kyā ho

    hamīñ haiñ pīr-e-muġhāñ kāfiroñ ke ai 'ābid'

    hamīñ ko dāvā-e-īmāñ hai dekhiye kyā ho

    kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar

    sabhi ka chaak gireban hai dekhiye kya ho

    tumhein KHabar hi nahin ai tuyur-e-naghma-sara

    yahi chaman yahi zindan hai dekhiye kya ho

    jahan kashud-e-nawa par KHizan ke pahre hain

    wahin bahaar-e-ghazal-KHwan hai dekhiye kya ho

    subu uTha ki ye nazuk maqam hai saqi

    na ahrman hai na yazdan hai dekhiye kya ho

    rawan hai mauj-e-gul-o-lala mauj-e-KHun ki tarah

    chaman shahid-e-bahaaran hai dekhiye kya ho

    daraazi-e-shab-e-hijran se mujh ko KHauf na tha

    kisi ki zulf-e-pareshan hai dekhiye kya ho

    hawa ka rang ye hai aashiyan to ek taraf

    qafas bhi shaKH pe larzan hai dekhiye kya ho

    yahi hai dil se shikayat ki mera mahram-e-raaz

    mujhi se dast-o-gireban hai dekhiye kya ho

    hamin hain pir-e-mughan kafiron ke ai 'abid'

    hamin ko dawa-e-iman hai dekhiye kya ho

    Source:

    Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 696)

    • Author: Dr. Abdul Wahid
      • Publisher: Feroz sons Printers Publishers and Stationers

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now