Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha

Ada Jafarey

koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha

Ada Jafarey

MORE BYAda Jafarey

    koī sañg-e-rah bhī chamak uThā to sitāra-e-saharī kahā

    mirī raat bhī tire naam thī use kis ne tīra-shabī kahā

    mire roz o shab bhī ajiib the na shumār thā na hisāb thā

    kabhī umr bhar ḳhabar na thī kabhī ek pal ko sadī kahā

    mujhe jāntā bhī koī na thā mire be-niyāz tire sivā

    na shikast-e-dil na shikast-e-jāñ ki tirī ḳhushī ko ḳhushī kahā

    koī yaad aa bhī ga.ī to kyā koī zaḳhm khil bhī uThā to kyā

    jo sabā qarīb se ho chalī use minnatoñ ghaḌī kahā

    bharī dopahar meñ jo paas thī vo tire ḳhayāl chhāñv thī

    kabhī shāḳh-e-gul se misāl kabhī us ko sarv-e-sahī kahā

    kahīñ sañg-e-rah kahīñ sang-e-dar ki maiñ pattharoñ ke nagar meñ huuñ

    ye nahīñ ki dil ko ḳhabar na thī ye batā ki muñh se kabhī kahā

    mire harf harf ke haath meñ sabhī ā.inoñ haiñ kirchiyāñ

    jo zabāñ se ho na sakā 'adā' ba-hudūd-e-be-suḳhanī kahā

    koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha

    meri raat bhi tere nam thi use kis ne tira-shabi kaha

    mere roz o shab bhi ajib the na shumar tha na hisab tha

    kabhi umr bhar ki KHabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha

    mujhe jaanta bhi koi na tha mere be-niyaz tere siwa

    na shikast-e-dil na shikast-e-jaan ki teri KHushi ko KHushi kaha

    koi yaad aa bhi gai to kya koi zaKHm khil bhi uTha to kya

    jo saba qarib se ho chali use minnaton ki ghaDi kaha

    bhari dopahar mein jo pas thi wo tere KHayal ki chhanw thi

    kabhi shaKH-e-gul se misal di kabhi us ko sarw-e-sahi kaha

    kahin sang-e-rah kahin sang-e-dar ki main pattharon ke nagar mein hun

    ye nahin ki dil ko KHabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha

    mere harf harf ke hath mein sabhi aainon ki hain kirchiyan

    jo zaban se ho na saka 'ada' ba-hudud-e-be-suKHani kaha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now