Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazzat se nahin Khaali jaanon ka khapa jaana

Meer Taqi Meer

lazzat se nahin Khaali jaanon ka khapa jaana

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    lazzat se nahīñ ḳhālī jānoñ khapā jaanā

    kab ḳhizr o masīhā ne marne maza jaanā

    ham jāh-o-hasham yaañ kyā kahiye ki kyā jaanā

    ḳhātim ko sulaimāñ añgushtar-e-pā jaanā

    ye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāre

    muñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanā

    kab bandagī merī banda karegā koī

    jaane hai ḳhudā us ko maiñ tujh ko ḳhudā jaanā

    thā naaz bahut ham ko dānist par apnī bhī

    āḳhir vo burā niklā ham jis ko bhalā jaanā

    gardan-kashī kyā hāsil mānind bagūle

    is dasht meñ sar gaaḌe juuñ sail chalā jaanā

    is girya-e-ḳhūnīñ ho zabt to behtar hai

    achchhā nahīñ chehre par lohū bahā jaanā

    ye naqsh diloñ par se jaane nahīñ us ko

    āshiq ke huqūq aa kar nāhaq bhī miTā jaanā

    Dhab dekhne īdhar aisā tumhārā thā

    jaate to ho par ham se Tuk aañkh milā jaanā

    us sham.a majlis meñ jaanā hameñ phir vaañ se

    ik zaḳhm-e-zabāñ taaza har roz uThā jaanā

    ai shor-e-qayāmat ham sote na rah jāveñ

    is raah se nikle to ham ko bhī jagā jaanā

    kyā paanī ke mol aa kar mālik ne guhar bechā

    hai saḳht girāñ sastā yūsuf bikā jaanā

    hai merī tirī nisbat ruuh aur jasad

    kab aap se maiñ tujh ko ai jaan judā jaanā

    jaatī hai guzar par us vaqt qayāmat

    yaad aave hai jab terā yak-bārgī aa jaanā

    barsoñ se mire us rahtī hai yahī sohbat

    teġh us ko uThānā to sar mujh ko jhukā jaanā

    kab 'mīr' basar aa.e tum vaise farebī se

    dil ko to lagā baiThe lekin na lagā jaanā

    lazzat se nahin KHali jaanon ka khapa jaana

    kab KHizr o masiha ne marne ka maza jaana

    hum jah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana

    KHatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana

    ye bhi hai ada koi KHurshid namat pyare

    munh subh dikha jaana phir sham chhupa jaana

    kab bandagi meri si banda karega koi

    jaane hai KHuda us ko main tujh ko KHuda jaana

    tha naz bahut hum ko danist par apni bhi

    aaKHir wo bura nikla hum jis ko bhala jaana

    gardan-kashi kya hasil manind bagule ki

    is dasht mein sar gaDe jun sail chala jaana

    is girya-e-KHunin ka ho zabt to behtar hai

    achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana

    ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko

    aashiq ke huquq aa kar nahaq bhi miTa jaana

    Dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha

    jate to ho par hum se Tuk aankh mila jaana

    us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se

    ek zaKHm-e-zaban taza har roz uTha jaana

    ai shor-e-qayamat hum sote hi na rah jawen

    is rah se nikle to hum ko bhi jaga jaana

    kya pani ke mol aa kar malik ne guhar becha

    hai saKHt giran sasta yusuf ka bika jaana

    hai meri teri nisbat ruh aur jasad ki si

    kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana

    jati hai guzar ji par us waqt qayamat si

    yaad aawe hai jab tera yak-bargi aa jaana

    barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat

    tegh us ko uThana to sar mujh ko jhuka jaana

    kab 'mir' basar aae tum waise farebi se

    dil ko to laga baiThe lekin na laga jaana

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now