aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan

Arzoo Lakhnavi

meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    mirī nigāh kahāñ dīd-e-husn-e-yār kahāñ

    ho e'tibār to phir tāb-e-intizār kahāñ

    diloñ meñ farq huā jab to chaah pyaar kahāñ

    chaman chaman nahīñ aa.egī bahār kahāñ

    jise ye kah ke vo hañs deñ ki qissa achchhā hai

    vo raaz khul ke bhī hotā hai āshkār kahāñ

    umañg thī ye javānī koī āñdhī

    milā ke ḳhaak meñ ham ko ga.ī bahār kahāñ

    umīd-vār banāne se mudda.ā kyā thā

    jab aas tum ne dilā to ab qarār kahāñ

    milī hai is liye do-chār din āzādī

    ki sarf kartā hai dekheñ ye iḳhtiyār kahāñ

    ye shauq le ke chalā hai chaman se shakl-e-nasīm

    ki dekheñ miltī hai jaatī huī bahār kahāñ

    hai ek shart vafā vo qaid-e-be-zanjīr

    sab iḳhtiyār haiñ aur kuchh bhī iḳhtiyār kahāñ

    miTe nishāñ pe nazar kar ke ro jise chāhe

    tire sitam hai turbat mirā mazār kahāñ

    tum aisā ahd-shikan 'ārzū' nā-ummīd

    kaho jo sach bhī to aatā hai e'tibār kahāñ

    meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan

    ho e'tibar to phir tab-e-intizar kahan

    dilon mein farq hua jab to chah pyar kahan

    chaman chaman hi nahin aaegi bahaar kahan

    jise ye kah ke wo hans den ki qissa achchha hai

    wo raaz khul ke bhi hota hai aashkar kahan

    umang thi ye jawani ki ya koi aandhi

    mila ke KHak mein hum ko gai bahaar kahan

    umid-war banane se muddaa kya tha

    jab aas tum ne dila di to ab qarar kahan

    mili hai is liye do-chaar din ki aazadi

    ki sarf karta hai dekhen ye iKHtiyar kahan

    ye shauq le ke chala hai chaman se shakl-e-nasim

    ki dekhen milti hai jati hui bahaar kahan

    hai ek shart wafa ki wo qaid-e-be-zanjir

    sab iKHtiyar hain aur kuchh bhi iKHtiyar kahan

    miTe nishan pe nazar kar ke ro jise chahe

    tere sitam ki hai turbat mera mazar kahan

    tum aisa ahd-shikan 'arzu' sa na-ummid

    kaho jo sach bhi to aata hai e'tibar kahan

    RECITATIONS

    Arzoo Lakhnavi

    Arzoo Lakhnavi,

    Arzoo Lakhnavi

    meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan Arzoo Lakhnavi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now