Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya

Insha Allah Khan Insha

nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    niiñd mastoñ ko kahāñ aur kidhar takiya

    ḳhisht-e-ḳhum-ḳhāna hai yaañ apne to sar takiya

    laḳht-e-dil aa ke musāfir se Thaharte haiñ yahāñ

    chashm hai ham se gadāoñ guzar takiya

    jis taraf aañkh uThā dekhiye ho jaa.e asar

    ham to rakhte haiñ faqat apnī nazar takiya

    chain hargiz nahīñ maḳhmal ke use takiye par

    us parī ke liye ho huur ke par takiya

    haath apne ke sivā aur to kyā ho haihāt

    vālih o dar-ba-dar o ḳhāk-basar takiya

    sar to chāhe hai mirā hove mayassar tere

    haath baazū zaanū kamar takiya

    ye to hāsil hai kahāñ bhej de lekin mujh ko

    jis meñ bāloñ ho tere ho sar takiya

    tīkhe-pan ke tire qurbān akaḌ ke sadqe

    kyā baiThā hai lagā kar ke sipar takiya

    garche ham saḳht gunahgār haiñ lekin vallāh

    dil meñ jo Dar hai hameñ hai usī Dar takiya

    girya o āh-o-fuġhāñ naala o rab fariyād

    sab ko hai har shab-o-roz apne asar takiya

    rind o āzād hue chhoḌ ilāqa sab

    DhūñDhte kab haiñ pidar aur pisar takiya

    gar bharosā hai hameñ ab to bharosā terā

    aur takiya hai agar tere dar takiya

    shauq se soiye sar rakh ke mire zaanū par

    us ko mat samajhiye kuchh ḳhauf-o-ḳhatar takiya

    jab talak aap na jāgeñge rahegā yuuñ

    sarkegā tab ki jab kahiyegā sarkā takiya

    lutf-e-īzadī se ummīd hai inshā-allāh

    kuchh nahīñ rakhte haiñ ham fazl o hunar takiya

    nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya

    KHisht-e-KHum-KHana hai yan apne to sar ka takiya

    laKHt-e-dil aa ke musafir se Thaharte hain yahan

    chashm hai hum se gadaon ki guzar ka takiya

    jis taraf aankh uTha dekhiye ho jae asar

    hum to rakhte hain faqat apni nazar ka takiya

    chain hargiz nahin maKHmal ke use takiye par

    us pari ke liye ho hur ke par ka takiya

    hath apne ke siwa aur to kya ho haihat

    walih o dar-ba-dar o KHak-basar ka takiya

    sar to chahe hai mera howe mayassar tere

    hath ka bazu ka zanu ka kamar ka takiya

    ye to hasil hai kahan bhej de lekin mujh ko

    jis mein baalon ki ho bu tere ho sar ka takiya

    tikhe-pan ke tere qurban akaD ke sadqe

    kya hi baiTha hai laga kar ke sipar ka takiya

    garche hum saKHt gunahgar hain lekin wallah

    dil mein jo Dar hai hamein hai usi Dar ka takiya

    girya o aah-o-fughan nala o ya rab fariyaad

    sab ko hai har shab-o-roz apne asar ka takiya

    rind o aazad hue chhoD ilaqa sab ka

    DhunDhte kab hain pidar aur pisar ka takiya

    gar bharosa hai hamein ab to bharosa tera

    aur takiya hai agar tere hi dar ka takiya

    shauq se soiye sar rakh ke mere zanu par

    us ko mat samajhiye kuchh KHauf-o-KHatar ka takiya

    jab talak aap na jagenge rahega yun hi

    sarkega tab hi ki jab kahiyega sarka takiya

    lutf-e-izadi hi se ummid hai insha-allah

    kuchh nahin rakhte hain hum fazl o hunar ka takiya

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now