Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di

Bashir Badr

pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    pyaar na.ī dastak dil pe phir sunā.ī

    chāñd koī sūrat ḳhvāb meñ dikhā.ī

    kis ne merī palkoñ pe titliyoñ ke par rakkhe

    aaj apnī aahaT bhī der tak sunā.ī

    ham ġharīb logoñ ke aaj bhī vahī din haiñ

    pahle kyā asīrī thī aaj kyā rihā.ī

    bārishoñ ke chehre par āñsuoñ se likhnā hai

    kuchh na koī paḌh paa.e aisī raushnā.ī

    āsmāñ zamīñ rakh kar donoñ ek muTThī meñ

    ik zarā laḌkī ne pyaar ḳhudā.ī

    ye tunak-mizājī to ḳhair us fitrat hai

    varna us ne chāhat bhī ham ko intihā.ī

    ye tanāv qudrat ne do diloñ meñ kyuuñ rakkhā

    mujh ko kaj-kulāhī us ko kaj-adā.ī

    pyar ki nai dastak dil pe phir sunai di

    chand si koi surat KHwab mein dikhai di

    kis ne meri palkon pe titliyon ke par rakkhe

    aaj apni aahaT bhi der tak sunai di

    hum gharib logon ke aaj bhi wahi din hain

    pahle kya asiri thi aaj kya rihai di

    barishon ke chehre par aansuon se likhna hai

    kuchh na koi paDh pae aisi raushnai di

    aasman zamin rakh kar donon ek muTThi mein

    ek zara si laDki ne pyar ki KHudai di

    ye tunak-mizaji to KHair us ki fitrat hai

    warna us ne chahat bhi hum ko intihai di

    ye tanaw qudrat ne do dilon mein kyun rakkha

    mujh ko kaj-kulahi di us ko kaj-adai di

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now