aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho

Sarmad Sahbai

raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho

Sarmad Sahbai

MORE BYSarmad Sahbai

    raushnī rañgoñ meñ simTā huā dhokā na ho

    maiñ jise jism samajhtā huuñ vo saayā na ho

    ā.īna TuuT gayā chuntā huuñ reza reza

    isī ā.īne meñ merā kahīñ chehrā na ho

    maiñ to dīvār ke is paar ravāñ huuñ kab se

    koī dīvār ke us paar bhī chaltā na ho

    vo jo suntā hai mirī baat baḌe ġhaur ke saath

    baad jaane ke mire mujh pe vo hañstā na ho

    jāgtī āñkhoñ meñ kyuuñ phailtā jaatā hai ḳhalā

    khā ga.ī hai jise duurī tirā rasta na ho

    moḌ har raah pe paañv se lipaT jaate haiñ

    vo mujhe chhoḌ ke chal de kahīñ aisā na ho

    us ke milne pe bhī mahsūs huā hai 'sarmad'

    us ne dekhā na ho maiñ ne bulāyā na ho

    raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho

    main jise jism samajhta hun wo saya hi na ho

    aaina TuT gaya chunta hun reza reza

    isi aaine mein mera kahin chehra hi na ho

    main to diwar ke is par rawan hun kab se

    koi diwar ke us par bhi chalta hi na ho

    wo jo sunta hai meri baat baDe ghaur ke sath

    baad jaane ke mere mujh pe wo hansta hi na ho

    jagti aankhon mein kyun phailta jata hai KHala

    kha gai hai jise duri tera rasta hi na ho

    moD har rah pe panw se lipaT jate hain

    wo mujhe chhoD ke chal de kahin aisa hi na ho

    us ke milne pe bhi mahsus hua hai 'sarmad'

    us ne dekha hi na ho main ne bulaya hi na ho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now