Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko

Khwaja Meer Dard

samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    samajhnā fahm gar kuchh hai tabī.ī se ilāhī ko

    shahādat ġhaib ḳhātir to hāzir hai gavāhī ko

    nahīñ mumkin ki ham se zulmat-e-imkān zaa.il ho

    chhuḌā de aah koī kyuuñ ke zañgī se siyāhī ko

    ajab aalam hai īdhar se hameñ hastī satātī hai

    udhar se nīstī aatī hai dauḌī uzr-ḳhvāhī ko

    na rah jaave kahīñ zāhidā mahrūm rahmat se

    gunahgāroñ meñ samjhā kariyo apnī be-gunāhī ko

    na lāzim nīstī us ko na hastī zarūrī hai

    bayāñ kyā kījiye ai 'dard' mumkin nanāhī ko

    samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko

    shahadat ghaib ki KHatir to hazir hai gawahi ko

    nahin mumkin ki hum se zulmat-e-imkan zail ho

    chhuDa de aah koi kyun ke zangi se siyahi ko

    ajab aalam hai idhar se hamein hasti satati hai

    udhar se nisti aati hai dauDi uzr-KHwahi ko

    na rah jawe kahin tu zahida mahrum rahmat se

    gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko

    na lazim nisti us ko na hasti hi zaruri hai

    bayan kya kijiye ai 'dard' mumkin ki nanahi ko

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now