aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki

Faiz Ahmad Faiz

shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    shaiḳh sāhab se rasm-o-rāh na

    shukr hai zindagī tabāh na

    tujh ko dekhā to ser-chashm hue

    tujh ko chāhā to aur chaah na

    tere dast-e-sitam ijz nahīñ

    dil kāfir thā jis ne aah na

    the shab-e-hijr kaam aur bahut

    ham ne fikr-e-dil-e-tabāh na

    kaun qātil bachā hai shahr meñ 'faiz'

    jis se yāroñ ne rasm-o-rāh na

    shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki

    shukr hai zindagi tabah na ki

    tujh ko dekha to ser-chashm hue

    tujh ko chaha to aur chah na ki

    tere dast-e-sitam ka ijz nahin

    dil hi kafir tha jis ne aah na ki

    the shab-e-hijr kaam aur bahut

    hum ne fikr-e-dil-e-tabah na ki

    kaun qatil bacha hai shahr mein 'faiz'

    jis se yaron ne rasm-o-rah na ki

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jaswinder Singh

    Jaswinder Singh

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 239)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now