aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

Anwar Sabri

talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

Anwar Sabri

MORE BYAnwar Sabri

    talḳhāba-e-ġham ḳhanda-jabīñ ho ke piye

    mauhūm umīdoñ ke sahāroñ pe jiye

    māyūs na ho be-ruḳhī-e-chashm-e-jahāñ se

    shā.ista-e-ehsās koī kaam kiye

    shikva na kar is daur-e-junūñ-zād koī

    taqdīr-e-ḳhirad-soz ko ilzām diye

    auroñ ko garebāñ tujhe fikr kyuuñ ho

    apnī sad-chāki-e-dāmāñ ko siye

    har lamha taġhayyur pe nigāhoñ ko jamā.e

    jā.iza-e-gardish-e-ayyām liye

    is jabr-e-mashiyyat ko to sahnā paḌegā

    be-kaif sahī un ke ishāroñ pe jiye

    saaqī nazar se koī nisbat hai to 'anvar'

    piine adā ye bhī hai be-jām piye

    talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

    mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja

    mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se

    shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja

    shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi

    taqdir-e-KHirad-soz ko ilzam diye ja

    auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho

    tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja

    har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae

    tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja

    is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi paDega

    be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja

    saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar'

    pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now