aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere liye chale the hum tere liye Thahar gae

Adeem Hashmi

tere liye chale the hum tere liye Thahar gae

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    tere liye chale the ham tere liye Thahar ga.e

    ne kahā to uThe ne kahā to mar ga.e

    kaT ga.ī judā.ī bhī kab ye huā ki mar ga.e

    tere bhī din guzar ga.e mere bhī din guzar ga.e

    bhī kuchh aur aur hai ham bhī kuchh aur aur haiñ

    jaane vo kidhar gayā jaane vo ham kidhar ga.e

    rāhoñ meñ mile the ham rāheñ nasīb ban ga.iiñ

    vo bhī na apne ghar gayā ham bhī na apne ghar ga.e

    vaqt judā.ī itnā tavīl ho gayā

    dil meñ tire visāl ke jitne the zaḳhm bhar ga.e

    hotā rahā muqābla paanī aur pyaas

    sahrā umaD umaD paḌe dariyā biphar biphar ga.e

    vo bhī ġhubār-e-ḳhvāb thā ham bhī ġhubār-e-ḳhvāb the

    vo bhī kahīñ bikhar gayā ham bhī kahīñ bikhar ga.e

    koī kanār-e-ābjū baiThā huā hai sar-nigūñ

    kashtī kidhar chalī ga.ī jaane kidhar bhañvar ga.e

    aaj bhī intizār vaqt hunūt ho gayā

    aisā lagā ki hashr tak saare pal Thahar ga.e

    bārish-e-vasl vo huī saarā ġhubār dhul gayā

    vo bhī nikhar nikhar gayā ham bhī nikhar nikhar ga.e

    āb-e-muhīt-e-ishq bahr ajiib bahr hai

    taire to ġharq ho ga.e Duube to paar kar ga.e

    itne qarīb ho ga.e apne raqīb ho ga.e

    vo bhī 'adīm' Dar gayā ham bhī 'adīm' Dar ga.e

    us ke sulūk par 'adīm' apnī hayāt o maut hai

    vo jo milā to uThe vo na milā to mar ga.e

    tere liye chale the hum tere liye Thahar gae

    tu ne kaha to ji uThe tu ne kaha to mar gae

    kaT hi gai judai bhi kab ye hua ki mar gae

    tere bhi din guzar gae mere bhi din guzar gae

    tu bhi kuchh aur aur hai hum bhi kuchh aur aur hain

    jaane wo tu kidhar gaya jaane wo hum kidhar gae

    rahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gain

    wo bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gae

    waqt hi judai ka itna tawil ho gaya

    dil mein tere visal ke jitne the zaKHm bhar gae

    hota raha muqabla pani ka aur pyas ka

    sahra umaD umaD paDe dariya biphar biphar gae

    wo bhi ghubar-e-KHwab tha hum bhi ghubar-e-KHwab the

    wo bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gae

    koi kanar-e-abju baiTha hua hai sar-nigun

    kashti kidhar chali gai jaane kidhar bhanwar gae

    aaj bhi intizar ka waqt hunut ho gaya

    aisa laga ki hashr tak sare hi pal Thahar gae

    barish-e-wasl wo hui sara ghubar dhul gaya

    wo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gae

    aab-e-muhit-e-ishq ka bahr ajib bahr hai

    taire to gharq ho gae Dube to par kar gae

    itne qarib ho gae apne raqib ho gae

    wo bhi 'adim' Dar gaya hum bhi 'adim' Dar gae

    us ke suluk par 'adim' apni hayat o maut hai

    wo jo mila to ji uThe wo na mila to mar gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Adeem Hashmi

    Adeem Hashmi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tere liye chale the hum tere liye Thahar gae Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now