Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare nam par maine har aafat sar pe rakkhi thi

Rahat Indori

tumhaare nam par maine har aafat sar pe rakkhi thi

Rahat Indori

MORE BYRahat Indori

    tumhāre naam par maiñ ne har aafat sar pe rakkhī thī

    nazar sho.aloñ pe rakkhī thī zabāñ patthar pe rakkhī thī

    hamāre ḳhvāb to shahroñ saḌkoñ par bhaTakte the

    tumhārī yaad thī jo raat bhar bistar pe rakkhī thī

    maiñ apnā azm le kar manziloñ samt niklā thā

    mashaqqat haath pe rakkhī thī qismat ghar pe rakkhī thī

    inhīñ sāñsoñ ke chakkar ne hameñ vo din dikhā.e the

    hamāre paañv miTTī hamāre sar pe rakkhī thī

    sahar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the

    diye palkoñ pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhī thī

    tumhaare nam par main ne har aafat sar pe rakkhi thi

    nazar shoalon pe rakkhi thi zaban patthar pe rakkhi thi

    hamare KHwab to shahron ki saDkon par bhaTakte the

    tumhaari yaad thi jo raat bhar bistar pe rakkhi thi

    main apna azm le kar manzilon ki samt nikla tha

    mashaqqat hath pe rakkhi thi qismat ghar pe rakkhi thi

    inhin sanson ke chakkar ne hamein wo din dikhae the

    hamare panw ki miTTi hamare sar pe rakkhi thi

    sahar tak tum jo aa jate to manzar dekh sakte the

    diye palkon pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now