aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wada-e-sham-e-farda pe ai dil mujhe gar yaqin hi na aae to main kya karun

Anwar Mirzapuri

wada-e-sham-e-farda pe ai dil mujhe gar yaqin hi na aae to main kya karun

Anwar Mirzapuri

MORE BYAnwar Mirzapuri

    vāda-e-shām-e-fardā pe ai dil mujhe gar yaqīñ na aa.e to maiñ kyā karūñ

    un jhūTī tasallī ke tūfān meñ nabz-e-dil Duub jaa.e to maiñ kyā karūñ

    maiñ ne māñgī thī ye masjidoñ meñ duā maiñ jise chāhtā huuñ vo mujh ko mile

    jo mirā farz thā maiñ ne puurā kiyā ab ḳhudā bhuul jaa.e to maiñ kyā karūñ

    saare jhagḌe agar mere jiine ke haiñ to galā ghoñT do maiñ bhī be-zār huuñ

    maut ab tak to dāman bachātī rahī bhī dāman bachā.e to maiñ kyā karūñ

    na samjhegā hargiz mire nāsehā merī mai-noshiyāñ merī badmastiyāñ

    mujh pe tohmat na rakh maiñ sharābī nahīñ vo nazar se pilā.e to maiñ kyā karūñ

    tum mujhe bevafā.ī ke taane na do mere mahbūb maiñ bevafā to nahīñ

    tum bhī maġhrūr ho maiñ bhī ḳhuddār huuñ aañkh ḳhud bhar aa.e to maiñ kyā karūñ

    wada-e-sham-e-farda pe ai dil mujhe gar yaqin hi na aae to main kya karun

    un ki jhuTi tasalli ke tufan mein nabz-e-dil Dub jae to main kya karun

    main ne mangi thi ye masjidon mein dua main jise chahta hun wo mujh ko mile

    jo mera farz tha main ne pura kiya ab KHuda bhul jae to main kya karun

    sare jhagDe agar mere jine ke hain to gala ghonT do main bhi be-zar hun

    maut ab tak to daman bachati rahi tu bhi daman bachae to main kya karun

    tu na samjhega hargiz mere naseha meri mai-noshiyan meri badmastiyan

    mujh pe tohmat na rakh main sharabi nahin wo nazar se pilae to main kya karun

    tum mujhe bewafai ke tane na do mere mahbub main bewafa to nahin

    tum bhi maghrur ho main bhi KHuddar hun aankh KHud hi bhar aae to main kya karun

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now