Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi

Anwar Sabri

wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi

Anwar Sabri

MORE BYAnwar Sabri

    vo nīchī nigāheñ vo hayā yaad rahegī

    mil kar bhī na milne adā yaad rahegī

    mumkin hai mire baad bhulā deñ mujhe lekin

    umr unheñ merī vafā yaad rahegī

    jab maiñ nahīñ yaad rafīqān-e-safar ko

    hairāñ huuñ ki manzil unheñ kyā yaad rahegī

    kuchh yaad rahe na rahe zikr-e-gulistāñ

    ġhunchoñ ke chaTakne sadā yaad rahegī

    mahrūm rahe ahl-e-chaman nik.hat-e-gul se

    be-gānagi-e-mauj-e-sabā yaad rahegī

    palkoñ pe larazte rahe 'anvar' jo shab-e-ġham

    mujh ko unhīñ tāroñ ziyā yaad rahegī

    wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi

    mil kar bhi na milne ki ada yaad rahegi

    mumkin hai mere baad bhula den mujhe lekin

    ta umr unhen meri wafa yaad rahegi

    jab main hi nahin yaad rafiqan-e-safar ko

    hairan hun ki manzil unhen kya yaad rahegi

    kuchh yaad rahe ya na rahe zikr-e-gulistan

    ghunchon ke chaTakne ki sada yaad rahegi

    mahrum rahe ahl-e-chaman nikhat-e-gul se

    be-ganagi-e-mauj-e-saba yaad rahegi

    palkon pe larazte rahe 'anwar' jo shab-e-gham

    mujh ko unhin taron ki ziya yaad rahegi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now