aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intiqam

MORE BYNoon Meem Rashid

    us chehra, us ke ḳhadd-o-ḳhāl yaad aate nahīñ

    ik shabistāñ yaad hai

    ik barhana jism ātish-dāñ ke paas

    farsh par qālīn, qālīnoñ pe sej

    dhaat aur patthar ke but

    gosha-e-dīvār meñ hañste hue!

    aur ātish-dāñ meñ añgāroñ shor

    un butoñ be-hisī par ḳhashm-gīñ

    ujlī ujlī ūñchī dīvāroñ pe aks

    un farañgī hākimoñ yādgār

    jin talvāroñ ne rakkhā thā yahāñ

    sañg-e-buniyād-e-farañg!

    us chehrā us ke ḳhadd-o-ḳhāl yaad aate nahīñ

    ik barhana jism ab tak yaad hai

    ajnabī aurat jism,

    mere hoñToñ ne liyā thā raat bhar

    jis se arbāb-e-vatan be-hisī intiqām

    vo barhana jism ab tak yaad hai!

    us ka chehra, us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin

    ek shabistan yaad hai

    ek barhana jism aatish-dan ke pas

    farsh par qalin, qalinon pe sej

    dhat aur patthar ke but

    gosha-e-diwar mein hanste hue!

    aur aatish-dan mein angaron ka shor

    un buton ki be-hisi par KHashm-gin

    ujli ujli unchi diwaron pe aks

    un farangi hakimon ki yaadgar

    jin ki talwaron ne rakkha tha yahan

    sang-e-buniyaad-e-farang!

    us ka chehra us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin

    ek barhana jism ab tak yaad hai

    ajnabi aurat ka jism,

    mere honTon ne liya tha raat bhar

    jis se arbab-e-watan ki be-hisi ka intiqam

    wo barhana jism ab tak yaad hai!

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    intiqam Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now