aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai ri chiDiya

Majeed Amjad

ai ri chiDiya

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    jaane is rauzan meñ baiThe baiThe

    kis dhyān meñ tairī chiḌiyā ai chiḌiyā

    baiThe baiThe ne kitnī laaj se dekhā

    pītal ke us ik til ko jo terī naak meñ hai

    apnī pat par yuuñ mat riijh ḳhabar hai bāhar

    ik ik Daa.in aañkh putlī terī taak meñ hai

    tujh ko yuuñ chumkārne vāloñ meñ hai ik jug terā bairī

    chiḌiyā ai chiḌiyā

    bhūlī yuuñ uḌtī pañkh jhapaktī

    yahāñ kahāñ aa Thahrī chiḌiyā ai chiḌiyā

    ye to mere dil piñjrā hai is meñ

    apnī TuuTī phūTī ḳhushiyāñ DhūñDne aa.ī hai

    paglī yahāñ to hai hiire kanī chogā

    aur ik zaḳhmī saañs is pinjre añgnā.ī hai

    uḌ aur mahkī huī ban-belaḌiyoñ meñ

    chun apnī lai chiḌiyā ai chiḌiyā

    jaane is rauzan mein baiThe baiThe

    tu kis dhyan mein tairi chiDiya ai ri chiDiya

    baiThe baiThe tu ne kitni laj se dekha

    pital ke us ek til ko jo teri nak mein hai

    apni pat par yun mat rijh KHabar hai bahar

    ek ek Dain aankh ki putli teri tak mein hai

    tujh ko yun chumkarne walon mein hai ek jug tera bairi

    chiDiya ai ri chiDiya

    bhuli tu yun uDti pankh jhapakti

    yahan kahan aa Thahri chiDiya ai ri chiDiya

    ye to mere dil ka pinjra hai tu is mein

    apni TuTi phuTi KHushiyan DhunDne aai hai

    pagli yahan to hai hire ki kani ka choga

    aur ek zaKHmi sans is pinjre ki angnai hai

    uD aur mahki hui ban-belaDiyon mein

    ja chun apni lai ri chiDiya ai ri chiDiya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ai ri chiDiya Nomaan Shauque

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 510)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now