Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aqd-name

MORE BYAashufta Changezi

    aaj unhoñ ne ailān kar diyā

    dekho!

    ham ne tumhārī sab sab quvvatoñ faisla kiyā thā

    qīl-o-qāl gunjā.ish baaqī nahīñ hai

    tumhāre iqrār-nāme hamāre paas mahfūz haiñ

    tum se pahle vāloñ ḳhatā yahī thī

    ki unheñ,

    apnī naaf ke nīche sarsarāhaT ehsās

    kuchh ziyāda ho chalā thā

    unheñ shahr-badar kar diyā gayā

    un ke pachhtāve aur giḌgiḌāhaTeñ

    aaj bhī hamāre kānoñ meñ mahfūz haiñ

    tumheñ itnī chhūT kyuuñ jaa.e

    ki tum

    kal hamāre muqāble par utar aao

    ham tumheñ hoshiyār kiye dete haiñ

    dīvāreñ phalāñgne vaale

    itaab se bach nahīñ sakte

    aqd-nāmoñ par tumhāre dastaḳhat

    tumhārī nā-murādī khulā e'tirāf haiñ

    is ke baġhair

    hamārī haram-sarā meñ

    dāḳhil hone ke ijāzat-nāme

    tumheñ mil bhī kaise sakte the

    is se pahle ki hamāre najībut-tarafain shajre mashkūk ho jaa.eñ

    aur hamāre hasab-nasab par aañch aa jaa.e

    ham!

    tum se pahle gulū-ḳhalāsī rāsta DhūñD nikāleñge!!

    aaj unhon ne ailan kar hi diya

    dekho!

    hum ne tumhaari sab ki sab quwwaton ka faisla kiya tha

    qil-o-qal ki gunjaish baqi nahin hai

    tumhaare iqrar-name hamare pas mahfuz hain

    tum se pahle walon ki KHata yahi thi

    ki unhen,

    apni naf ke niche sarsarahaT ka ehsas

    kuchh ziyaada hi ho chala tha

    unhen shahr-badar kar diya gaya

    un ke pachhtawe aur giDgiDahaTen

    aaj bhi hamare kanon mein mahfuz hain

    tumhein itni chhuT di hi kyun jae

    ki tum

    kal hamare muqable par utar aao

    hum tumhein hoshiyar kiye dete hain

    diwaren phalangne wale

    itab se bach nahin sakte

    aqd-namon par tumhaare dastaKHat

    tumhaari na-muradi ka khula e'tiraf hain

    is ke baghair

    hamari haram-sara mein

    daKHil hone ke ijazat-name

    tumhein mil bhi kaise sakte the

    is se pahle ki hamare najibut-tarafain shajre mashkuk ho jaen

    aur hamare hasab-nasab par aanch aa jae

    ham!

    tum se pahle gulu-KHalasi ka rasta DhunD nikalenge!!

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    aqd-name Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now