Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek daur

Gulzar

ek daur

Gulzar

MORE BYGulzar

    chāñd kyuuñ abr us mailī gaThrī meñ chhupā thā

    us ke chhupte añdheroñ ke nikal aa.e the nāḳhun

    aur jañgal se guzarte hue māsūm musāfir

    apne chehroñ ko kharoñchoñ se bachāne ke liye chīḳh paḌe the

    chāñd kyuuñ abr us mailī gaThrī meñ chhupā thā

    us ke chhupte utar aa.e the shāḳhoñ se laTakte hue

    aaseb the jitne

    aur jañgal se guzarte hue rahgīroñ ne gardan meñ utarte

    hue dāñtoñ se sunā thā

    paar jaanā hai to piine ko lahū denā paḌegā

    chāñd kyuuñ abr us mailī gaThrī meñ chhupā thā

    ḳhuun se luthḌī huī raat ke rahgīroñ ne do zaanū pa gir kar,

    ''raushnī, raushnī''! chillāyā thaa, dekhā thā falak jānib,

    chāñd ne gaThrī se ek haath nikālā thaa, dikhāyā thā chamaktā huā ḳhanjar

    chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha

    us ke chhupte hi andheron ke nikal aae the naKHun

    aur jangal se guzarte hue masum musafir

    apne chehron ko kharonchon se bachane ke liye chiKH paDe the

    chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha

    us ke chhupte hi utar aae the shaKHon se laTakte hue

    aaseb the jitne

    aur jangal se guzarte hue rahgiron ne gardan mein utarte

    hue danton se suna tha

    par jaana hai to pine ko lahu dena paDega

    chand kyun abr ki us maili si gaThri mein chhupa tha

    KHun se luthDi hui raat ke rahgiron ne do zanu pa gir kar,

    raushni, raushni! chillaya tha, dekha tha falak ki jaanib,

    chand ne gaThri se ek hath nikala tha, dikhaya tha chamakta hua KHanjar

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now