aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamushi

Baqar Mehdi

KHamushi

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    koī image kisī baat hasīñ saaya

    na.e purāne ḳhayāloñ ik achhūtā mel

    kisī yaad bhaTkā huā koī jugnū

    kisī ke niile se kāġhaz pe chand adhūre lafz

    baġhāvatoñ purānā ghisā piTā na.ara

    kisī kitāb meñ zinda magar chhupī ummīd

    purānī ġhazloñ ik raakh be-dilī aisī

    ḳhud apne aap se uljhan ajiib be-zārī

    ġharaz ki muuD ke sau rañg ā.īne partav

    magar ye kyā huā ab kuchh bhī likh nahīñ saktā

    na jaane kab se ye be-ma.anī ḳhāmushī be-muhīt

    ḳhud apne saa.e se maiñ chhuT gayā huuñ shāyad

    kahīñ maiñ lafzoñ duniyā ko chhoḌ aayā huuñ

    koi image kisi baat ka hasin saya

    nae purane KHayalon ka ek achhuta mel

    kisi ki yaad ka bhaTka hua koi jugnu

    kisi ke nile se kaghaz pe chand adhure lafz

    baghawaton ka purana ghisa piTa nara

    kisi kitab mein zinda magar chhupi ummid

    purani ghazlon ki ek rakh be-dili aisi

    KHud apne aap se uljhan ajib be-zari

    gharaz ki muD ke sau rang aaine partaw

    magar ye kya hua ab kuchh bhi likh nahin sakta

    na jaane kab se ye be-mani KHamushi be-muhit

    KHud apne sae se main chhuT gaya hun ya shayad

    kahin main lafzon ki duniya ko chhoD aaya hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHamushi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now