aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda

Gulzar

KHuda

Gulzar

MORE BYGulzar

    puure puurā ākāsh ghumā kar baazī dekhī maiñ ne!

    kaale ghar meñ sūraj rakh ke

    tum ne shāyad sochā thā mere sab mohre piT jā.eñge

    maiñ ne ek charāġh jalā kar

    apnā rasta khol liyā

    tum ne ek samundar haath meñ le kar mujh par Dhiil diyā

    maiñ ne nuuh kashtī ke upar rakh

    kaal chalā tum ne aur merī jānib dekhā

    maiñ ne kaal ko toḌ ke lamha lamha jiinā siikh liyā

    merī ḳhudī ko tum ne chand chamatkāroñ se mārnā chāhā

    mere ik payāde ne terā chāñd mohara maar liyā

    maut ko shah de kar tum ne samjhā thā ab to maat huī

    maiñ ne jism ḳhol utaar ke soñp diyaa... aur ruuh bachā lii!

    puure puurā ākāsh ghumā kar ab tum dekho bāzī!!

    pure ka pura aakash ghuma kar bazi dekhi main ne!

    kale ghar mein suraj rakh ke

    tum ne shayad socha tha mere sab mohre piT jaenge

    main ne ek charagh jala kar

    apna rasta khol liya

    tum ne ek samundar hath mein le kar mujh par Dhil diya

    main ne nuh ki kashti ke upar rakh di

    kal chala tum ne aur meri jaanib dekha

    main ne kal ko toD ke lamha lamha jina sikh liya

    meri KHudi ko tum ne chand chamatkaron se marna chaha

    mere ek payaade ne tera chand ka mohara mar liya

    maut ko shah de kar tum ne samjha tha ab to mat hui

    main ne jism ka KHol utar ke sonp diya aur ruh bacha li!

    pure ka pura aakash ghuma kar ab tum dekho bazi!!

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHuda Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now