Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafi sare hisabon ki

Rajinder Manchanda Bani

nafi sare hisabon ki

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    lapaktā surḳh imkāñ

    jo mujhe ā.inda

    dahlīz par kar khaḌā karne ḳhvāhish meñ

    machaltā hai

    mire hāthoñ ko chhū kar

    mujh se kahtā hai

    tumhārī uñgliyoñ meñ

    ḳhuun kam kyuuñ hai

    tumhāre nāḳhunoñ meñ zardiyāñ kis ne sajā.ī haiñ

    kalā.ī se

    nikaltī haDDiyoñ par

    uun kam kyuuñ hai

    maiñ us se

    nā-tavāñ ik sadā meñ

    pūchhtā huuñ

    is se pahle tum kahāñ the

    is se pahle bhī yahī saarī zamīneñ thiiñ

    yahī sab āsmāñ the

    aur merī aañkh meñ

    niile hare ke darmiyāñ

    ik rañg shāyad aur bhī thā

    ab mire andar na jhāñko

    mere bātin meñ musalsal tairtī hai ūñghtī duniyā sarāboñ

    nafī saare hisāboñ

    lapakta surKH imkan

    jo mujhe aainda ki

    dahliz par la kar khaDa karne ki KHwahish mein

    machalta hai

    mere hathon ko chhu kar

    mujh se kahta hai

    tumhaari ungliyon mein

    KHun kam kyun hai

    tumhaare naKHunon mein zardiyan kis ne sajai hain

    kalai se

    nikalti haDDiyon par

    un kam kyun hai

    main us se

    na-tawan si ek sada mein

    puchhta hun

    is se pahle tum kahan the

    is se pahle bhi yahi sari zaminen thin

    yahi sab aasman the

    aur meri aankh mein

    nile hare ke darmiyan

    ek rang shayad aur bhi tha

    ab mere andar na jhanko

    mere baatin mein musalsal tairti hai unghti duniya sarabon ki

    nafi sare hisabon ki

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now