Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazhad-e-nau

Majeed Amjad

nazhad-e-nau

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    barahna-sar haiñ barhana tan haiñ barhana-pā haiñ

    sharīr rūheñ

    zamīr-e-hastī ārzūeñ

    chaTaktī kaliyāñ

    ki jin se būḌhī udaas galiyāñ

    mahak rahī haiñ

    ġharīb bachche ki jo shuā-e-sahar-gahī haiñ

    hamārī qabroñ pe girte ashkoñ silsila haiñ

    vo manzileñ jin jhalkiyoñ ko hamārī rāheñ

    taras rahī haiñ

    unhī ke qadmoñ meñ bas rahī haiñ

    hasīn ḳhvāboñ

    dhundlī duniyā.eñ jo sarāboñ

    ruup dhāre

    hamāre ehsās par sharāre

    uñDeltī haiñ

    unhīñ āñkhoñ meñ kheltī haiñ

    unhī ke gum-sum

    udaas chehroñ par jhilmilāte hue tabassum

    meñ Dhal ga.e haiñ hamāre aañsū hamārī aaheñ

    tavīl tārīkiyoñ meñ kho jā.eñge jab ik din

    hamāre saa.e

    is apnī duniyā laash uThā.e

    to sail-e-ravāñ

    koī mauj-e-hayāt-sāmāñ

    faroġh-e-fardā

    ruḳh pe Daale mahīn pardā

    uchhal ke shāyad

    sameT le zindagī sarhad

    ke us kināre

    pe ghūmte ālamoñ ke dhāre

    ye sab hai ba-jā hai lekin

    ye totlī nau-ḳhirām rūheñ ki jin har saañs añgbīñ

    agar inhī koñpaloñ qismat meñ nāz-e-bālīdgī nahīñ hai

    to bahtī nadiyoñ

    meñ aane vaalī hazār sadiyoñ

    ye talātum

    sukūt-e-paiham ye tarannum

    ye jhoñke jhoñke

    meñ khulte ghūñghaT na.ī rutoñ ke

    thakī ḳhalāoñ

    meñ laakh an-dekhī kahkashāoñ

    kāvish-e-ram

    hazār nā-āfrīda aalam

    tamām bātil

    na un maqsad na un hāsil

    agar inhī koñpaloñ qismat meñ nāz-e-bālīdgī nahīñ hai

    barahna-sar hain barhana tan hain barhana-pa hain

    sharir ruhen

    zamir-e-hasti ki aarzuen

    chaTakti kaliyan

    ki jin se buDhi udas galiyan

    mahak rahi hain

    gharib bachche ki jo shua-e-sahar-gahi hain

    hamari qabron pe girte ashkon ka silsila hain

    wo manzilen jin ki jhalkiyon ko hamari rahen

    taras rahi hain

    unhi ke qadmon mein bas rahi hain

    hasin KHwabon

    ki dhundli duniyaen jo sarabon

    ka rup dhaare

    hamare ehsas par sharare

    unDelti hain

    unhin ki aankhon mein khelti hain

    unhi ke gum-sum

    udas chehron par jhilmilate hue tabassum

    mein Dhal gae hain hamare aansu hamari aahen

    tawil tarikiyon mein kho jaenge jab ek din

    hamare sae

    is apni duniya ki lash uThae

    to sail-e-rawan

    ki koi mauj-e-hayat-saman

    farogh-e-farda

    ka ruKH pe Dale mahin parda

    uchhal ke shayad

    sameT le zindagi ki sarhad

    ke us kinare

    pe ghumte aalamon ke dhaare

    ye sab ja hai ba-ja hai lekin

    ye totli nau-KHiram ruhen ki jin ki har sans angbin

    agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai

    to bahti nadiyon

    mein aane wali hazar sadiyon

    ka ye talatum

    sukut-e-paiham ka ye tarannum

    ye jhonke jhonke

    mein khulte ghunghaT nai ruton ke

    thaki KHalaon

    mein lakh an-dekhi kahkashaon

    ki kawish-e-ram

    hazar na-afrida aalam

    tamam baatil

    na un ka maqsad na un ka hasil

    agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 121)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now