Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sauda-gar

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    lo gajar baj gayā

    sub.h hone ko hai

    din nikalte ab maiñ chalā jā.ūñgā

    ajnabī shāh-rāhoñ pe phir

    kāsa-e-chashm le le ke ek ek chehra takūñgā

    daftaroñ kār-ḳhānoñ meñ tālīm-gāhoñ meñ kar

    apnī qīmat lagāne koshish karūñgā

    merī ārām-e-jāñ

    mujh ko ik baar phir dekh lo

    aaj shaam lauTūñgā jab

    bech kar apne shaffāf dil lahū

    apnī jholī meñ chāñdī ke TukḌe liye

    tum bhī mujh ko na pahchān pā.īñ to phir

    maiñ kahāñ jā.ūñgā

    kis se kar kahūñgā ki maiñ kaun thā

    kis se kar kahūñgā ki maiñ kaun huuñ

    lo gajar baj gaya

    subh hone ko hai

    din nikalte hi ab main chala jaunga

    ajnabi shah-rahon pe phir

    kasa-e-chashm le le ke ek ek chehra takunga

    daftaron kar-KHanon mein talim-gahon mein ja kar

    apni qimat lagane ki koshish karunga

    meri aaram-e-jaan

    mujh ko ek bar phir dekh lo

    aaj ki sham lauTunga jab

    bech kar apne shaffaf dil ka lahu

    apni jholi mein chandi ke TukDe liye

    tum bhi mujh ko na pahchan pain to phir

    main kahan jaunga

    kis se ja kar kahunga ki main kaun tha

    kis se ja kar kahunga ki main kaun hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sauda-gar Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now