aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukha tanha patta

Majeed Amjad

sukha tanha patta

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    us bairī ūñchī choTī par vo sūkhā tanhā pattā

    jis hastī bairī hai patjhaḌ rut har jhoñkā

    kaash mirī ye qismat hotī kaash maiñ vo ik pattā hotā

    TuuT ke jhaT us Tahnī se gir paḌtā kitnā achchhā hotā

    gir paḌtā us bairī vaale ghar ke āñgan meñ gir paḌtā

    yuuñ un pāzeboñ vaale paañv ke dāman meñ gir paḌtā

    jis ko mere aañsū pūjeñ us ghar ke ḳhāshāk meñ mil kar

    jis ko mere sajde tarseñ us dvāre ḳhaak meñ mil kar

    us āñgan dhuul meñ mil kar miTtā miTtā miT jaatā maiñ

    umr bhar un qadmoñ ko apne siine par muztar paatā maiñ

    haa.e mujh se na dekhā jaa.e aayā havā jhoñkā aayā

    Dāliyāñ larzīñ Tahniyāñ kāñpīñ lo vo sūkhā pattā TuuTā

    us bairi ki unchi choTi par wo sukha tanha patta

    jis ki hasti ka bairi hai patjhaD ki rut ka har jhonka

    kash meri ye qismat hoti kash main wo ek patta hota

    TuT ke jhaT us Tahni se gir paDta kitna achchha hota

    gir paDta us bairi wale ghar ke aangan mein gir paDta

    yun un pazebon wale panw ke daman mein gir paDta

    jis ko mere aansu pujen us ghar ke KHashak mein mil kar

    jis ko mere sajde tarsen us dware ki KHak mein mil kar

    us aangan ki dhul mein mil kar miTta miTta miT jata main

    umr bhar un qadmon ko apne sine par muztar pata main

    hae mujh se na dekha jae aaya hawa ka jhonka aaya

    Daliyan larzin Tahniyan kanpin lo wo sukha patta TuTa

    Source:

    Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 61)

    • Author: Majiid Amjad
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot (p) Ltd.
      • Year of Publication: 2011

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now