Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan se shahr ko dekho

Faiz Ahmad Faiz

yahan se shahr ko dekho

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    yahāñ se shahr ko dekho to halqa-dar-halqa

    khiñchī hai jel sūrat har ek samt fasīl

    har ek rāhguzar gardish-e-asīrāñ hai

    na sañg-e-mīl na manzil na muḳhlisī ki sabīl

    The City from Here

    jo koī tez chale rah to pūchhtā hai ḳhayāl

    ki Tokne koī lalkār kyuuñ nahīñ aa.ī

    jo koī haath hilā.e to vahm ko hai savāl

    koī chhanak koī jhankār kyuuñ nahīñ aa.ī

    When you look at the city from here,

    this is its pattern: circles within circles,

    each outer one a wall imprisoning the inner,

    no escape in any direction. Each road,

    each street seems viciously trapped, a prisoner

    with no milestone, no destination,

    and no occasion for fidelity.

    yahāñ se shahr ko dekho to saarī ḳhilqat meñ

    na koī sāhab-e-tamkīñ na koī vāli-e-hosh

    har ek mard-e-javāñ mujrim-e-rasan-ba-gulū

    har ik hasīna-e-rānā, kanīz-e-halqa-bagosh

    When someone quickens his step, you think

    at any moment he'll be ordered to halt.

    When someone raises his arm, you wait

    to hear the sudden chains of a handcuff.

    jo saa.e duur charāġhoñ ke gird larzāñ haiñ

    na jaane mahfil-e-ġham hai ki bazm-e-jām-o-subū

    jo rañg har dar-o-dīvār par pareshāñ haiñ

    yahāñ se kuchh nahīñ khultā ye phuul haiñ ki lahū

    When you look at the city from here,

    among the populace you see no one

    with any dignity or pride. No one is aware.

    Each young man walks like a criminal,

    as if the scaffold's shadow were on his neck.

    Every beautiful woman's bracelets mark her a slave.

    yahan se shahr ko dekho to halqa-dar-halqa

    khinchi hai jel ki surat har ek samt fasil

    har ek rahguzar gardish-e-asiran hai

    na sang-e-mil na manzil na muKHlisi ki sabil

    The City from Here

    jo koi tez chale rah to puchhta hai KHayal

    ki Tokne koi lalkar kyun nahin aai

    jo koi hath hilae to wahm ko hai sawal

    koi chhanak koi jhankar kyun nahin aai

    When you look at the city from here,

    this is its pattern: circles within circles,

    each outer one a wall imprisoning the inner,

    no escape in any direction. Each road,

    each street seems viciously trapped, a prisoner

    with no milestone, no destination,

    and no occasion for fidelity.

    yahan se shahr ko dekho to sari KHilqat mein

    na koi sahab-e-tamkin na koi wali-e-hosh

    har ek mard-e-jawan mujrim-e-rasan-ba-gulu

    har ek hasina-e-rana, kaniz-e-halqa-bagosh

    When someone quickens his step, you think

    at any moment he'll be ordered to halt.

    When someone raises his arm, you wait

    to hear the sudden chains of a handcuff.

    jo sae dur charaghon ke gird larzan hain

    na jaane mahfil-e-gham hai ki bazm-e-jam-o-subu

    jo rang har dar-o-diwar par pareshan hain

    yahan se kuchh nahin khulta ye phul hain ki lahu

    When you look at the city from here,

    among the populace you see no one

    with any dignity or pride. No one is aware.

    Each young man walks like a criminal,

    as if the scaffold's shadow were on his neck.

    Every beautiful woman's bracelets mark her a slave.

    RECITATIONS

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Faiz Ahmad Faiz

    yahan se shahr ko dekho Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 405)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now