aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zahr ka safar

Sajjad Baqar Rizvi

zahr ka safar

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    maiñ insān huuñ

    maiñ ne ik nāgin ko Dasā

    us ko apnā zahr diyā

    aisā zahr ki jis mantar koī nahīñ

    us rag rag meñ chiñgārī

    us ke lahū meñ aag

    mere zahr meñ nasha bhī hai

    aisā nasha jis koī ḳhumār nahīñ

    vo nāgin ab mast nashe meñ jhūmegī

    bahak bahak kar har-sū mujh ko DhūñDegī

    us zabāñ bāhar ko niklī

    us ke muñh meñ jhaag

    aaj hai logo pūran-māshī

    zaḳhmī nāgin zahr ugaltī

    insānoñ ko Das ke un ke ḳhuun meñ apnā zahr bharegī

    aisā zahr ki jis mantar koī nahīñ

    un rag rag meñ chiñgārī

    un ke lahū meñ aag

    us zabāñ bāhar ko niklī

    us ke muñh meñ jhaag

    mujh ko Das kar mere ḳhuun ko vāpas merā zahr karegī

    merī rag rag meñ chiñgārī

    mere lahū meñ aag

    main insan hun

    main ne ek nagin ko Dasa

    us ko apna zahr diya

    aisa zahr ki jis ka mantar koi nahin

    us ki rag rag mein chingari

    us ke lahu mein aag

    mere zahr mein nasha bhi hai

    aisa nasha jis ka koi KHumar nahin

    wo nagin ab mast nashe mein jhumegi

    bahak bahak kar har-su mujh ko DhunDegi

    us ki zaban bahar ko nikli

    us ke munh mein jhag

    aaj hai logo puran-mashi

    zaKHmi nagin zahr ugalti

    insanon ko Das ke un ke KHun mein apna zahr bharegi

    aisa zahr ki jis ka mantar koi nahin

    un ki rag rag mein chingari

    un ke lahu mein aag

    us ki zaban bahar ko nikli

    us ke munh mein jhag

    mujh ko Das kar mere KHun ko wapas mera zahr karegi

    meri rag rag mein chingari

    mere lahu mein aag

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now