aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ka waqfa

Akhtarul Iman

zindagi ka waqfa

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    raat sannāTe chādar meñ paḌī hai lipTī

    pattiyāñ saḌkoñ sab jaag rahī haiñ jaise

    dekhnā chāhtī haiñ shahr meñ kyā hotā hai

    maiñ hamesha tarah hoñToñ meñ cigarette ko dabā.e

    sone se pahle ḳhayālāt meñ khoyā huā huuñ

    din meñ kyā kuchh kiyā ik jā.eza letā hai zamīr

    ek saada varaq nāma-e-āmāl hai sab

    kuchh nahīñ likkhā ba-juz is ke pise jaao yūñhī

    kuchh nahīñ likhā bas ik itnā ki insāñ nasīb

    giilī gūñdhī huī miTTī hai ik toda

    din meñ sau shakleñ banā kartī haiñ is miTTī se

    kuchh nahīñ likhā bas ik itnā ki chyūñTī dil hai

    jauq-dar-jauq jo insān nazar aate haiñ

    daana le kar kisī dīvār pe chaḌhnā girnā

    aur phir chaḌhnā chaḌhe jaanā yūñhī shaam o sahar

    kuchh nahīñ likkhā bas itnā ki pise jaao yūñhī

    aur andoh ta.assuf ḳhushī ālām nashāt

    ḳhud ko sau nāmoñ se bahlāte raho chalte raho

    saañs ruk jaa.e jahāñ samjho vahīñ manzil hai

    aur is dauḌ se thak jaao to cigarette lo

    raat sannaTe ki chadar mein paDi hai lipTi

    pattiyan saDkon ki sab jag rahi hain jaise

    dekhna chahti hain shahr mein kya hota hai

    main hamesha ki tarah honTon mein cigarette ko dabae

    sone se pahle KHayalat mein khoya hua hun

    din mein kya kuchh kiya ek jaeza leta hai zamir

    ek sada sa waraq nama-e-amal hai sab

    kuchh nahin likkha ba-juz is ke pise jao yunhi

    kuchh nahin likha bas ek itna ki insan ka nasib

    gili gundhi hui miTTi ka hai ek toda sa

    din mein sau shaklen bana karti hain is miTTi se

    kuchh nahin likha bas ek itna ki chyunTi dil hai

    jauq-dar-jauq jo insan nazar aate hain

    dana le kar kisi diwar pe chaDhna girna

    aur phir chaDhna chaDhe jaana yunhi sham o sahar

    kuchh nahin likkha bas itna ki pise jao yunhi

    aur andoh tassuf KHushi aalam nashat

    KHud ko sau namon se bahlate raho chalte raho

    sans ruk jae jahan samjho wahin manzil hai

    aur is dauD se thak jao to cigarette pi lo

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zindagi ka waqfa Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now