ALL
Profile
Ghazal137
Sher161
Mazahiya Shayari4
E-book26
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari33
Audio15
Video20
Blog2
Other
Translated Poetry1
Zafar Iqbal
Ghazal 137
Sher-o-Shayari 161
thaknā bhī lāzmī thā kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayā huuñ ārām karte karte
thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hun aaram karte karte
-
Share this
- See Ghazal
jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'
aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye
jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'
aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye
-
Share this
- See Ghazal
yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā
kisī ko ham na mile aur ham ko tū na milā
yahan kisi ko bhi kuchh hasb-e-arzu na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko tu na mila
-
Share this
- See Ghazal
ḳhāmushī achchhī nahīñ inkār honā chāhiye
ye tamāshā ab sar-e-bāzār honā chāhiye
KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye
ye tamasha ab sar-e-bazar hona chahiye
-
Share this
- See Ghazal
Mazahiya Shayari 4
Translated Poetry 1
BOOKS 26
Image Shayari 33
bas ek baar kisii ne gale lagaayaa thaa phir us ke baa'd na mai.n thaa na meraa saayaa thaa galii me.n log bhii the mere us ke dushman log vo sab pe ha.nstaa hu.aa mere dil me.n aayaa thaa us ek dasht me.n sau shahr ho ga.e aabaad jahaa.n kisii ne kabhii kaarvaa.n luTaayaa thaa vo mujh se apnaa pataa puuchhne ko aa nikle ki jin se mai.n ne KHud apnaa suraaG paayaa thaa mire vajuud se gulzaar ho ke niklii hai vo aag jis ne tiraa pairahan jalaayaa thaa mujhii ko taana-e-Gaarat-garii na de pyaare ye naqsh mai.n ne tire haath se miTaayaa thaa usii ne ruup badal kar jagaa diyaa aaKHir jo zahr mujh pe kabhii nii.nd ban ke chhaayaa thaa 'zafar' kii KHaak me.n hai kis kii hasrat-e-taamiir KHayaal-o-KHvaab me.n kis ne ye ghar banaayaa thaa