Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

Bekhud Dehlvi

bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    bevafā kahne se kyā vo bevafā ho jā.egā

    tere hote is sifat dūsrā ho jā.egā

    shart kar lo phir mujhe barbād honā bhī qubūl

    ḳhaak meñ mil kar to hāsil mudda.ā ho jā.egā

    sar na hogā dosh par to kyā na hogī guftugū

    hichkiyoñ se shukr qātil adā ho jā.egā

    siina toḌā dil meñ chuTkī jigar zaḳhmī kiyā

    kyā ḳhabar thī tiir bhī terī adā ho jā.egā

    mere kahne meñ hai dil jab tak mire pahlū meñ hai

    aap le liije ise ye aap ho jā.egā

    saath un ke jaan bhī armān bhī jā.eñge aaj

    sub.h se pahle ravāna qāfila ho jā.egā

    maiñ malūñ talvoñ se āñkheñ vo kaheñ samjhūñgā maiñ

    yaad rakh phīkā agar rang-e-hinā ho jā.egā

    phir vahī jhagḌe jhagḌā hai agar qum kah diyā

    teġh mansūḳh saarā faislā ho jā.egā

    kis ḳhushī meñ haa.e kaisā ranj phailā kyā karūñ

    kyā ḳhabar thī hañste hañste vo ḳhafā ho jā.egā

    hashr tak kyuuñ baat jaa.e kyuuñ paḌe ġhairoñ ke muñh

    ghar meñ samjhautā hamārā aap ho jā.egā

    aañkh se hai vasl iqrār dil dugdā meñ hai

    tum zabāñ se apnī kah doge to kyā ho jā.egā

    zulm se gar zab.h bhī kar do mujhe parvā nahīñ

    lutf se Dartā huuñ ye merī qazā ho jā.egā

    us ne chheḌā thā mujhe tum jaan doge kab hameñ

    kah diyā maiñ ne bhī jab vaada vafā ho jā.egā

    yuuñ savāl-e-vasl par Taalā kiyā barsoñ koī

    sabr kar muztar na ho terā kahā ho jā.egā

    laakh duniyā meñ hasīñ hoñ laakh hūreñ ḳhuld meñ

    mujh ko jo hai vo koī dūsrā ho jā.egā

    tauba bhī kar thī ye bhī nashsha thī ik tarañg

    aap samjhe the ki 'beḳhud' pārsā ho jā.egā

    bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

    tere hote is sifat ka dusra ho jaega

    shart kar lo phir mujhe barbaad hona bhi qubul

    KHak mein mil kar to hasil muddaa ho jaega

    sar na hoga dosh par to kya na hogi guftugu

    hichkiyon se shukr qatil ka ada ho jaega

    sina toDa dil mein chuTki li jigar zaKHmi kiya

    kya KHabar thi tir bhi teri ada ho jaega

    mere kahne mein hai dil jab tak mere pahlu mein hai

    aap le lije ise ye aap ka ho jaega

    sath un ke jaan bhi arman bhi jaenge aaj

    subh se pahle rawana qafila ho jaega

    main malun talwon se aankhen wo kahen samjhunga main

    yaad rakh phika agar rang-e-hina ho jaega

    phir wahi jhagDe ka jhagDa hai agar qum kah diya

    tegh ka mansuKH sara faisla ho jaega

    kis KHushi mein hae kaisa ranj phaila kya karun

    kya KHabar thi hanste hanste wo KHafa ho jaega

    hashr tak kyun baat jae kyun paDe ghairon ke munh

    ghar mein samjhauta hamara aap ka ho jaega

    aankh se hai wasl ka iqrar dil dugda mein hai

    tum zaban se apni kah doge to kya ho jaega

    zulm se gar zabh bhi kar do mujhe parwa nahin

    lutf se Darta hun ye meri qaza ho jaega

    us ne chheDa tha mujhe tum jaan doge kab hamein

    kah diya main ne bhi jab wada wafa ho jaega

    yun sawal-e-wasl par Tala kiya barson koi

    sabr kar muztar na ho tera kaha ho jaega

    lakh duniya mein hasin hon lakh huren KHuld mein

    mujh ko jo tu hai wo koi dusra ho jaega

    tauba bhi kar li thi ye bhi nashsha ki thi ek tarang

    aap samjhe the ki 'beKHud' parsa ho jaega

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now