hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki
huī ik ḳhvāb se shādī mirī tanhā.ī kī
pahlī beTī hai udāsī mirī tanhā.ī kī
abhī ma.alūm nahīñ kitne haiñ zaatī asbāb
kitnī vaj.heñ haiñ samājī mirī tanhā.ī kī
jā ke dekhā to khulā raunaq-e-bāzār kā raaz
ek ik chiiz banī thī mirī tanhā.ī kī
shahr-dar-shahr jo ye anjuman.en haiñ ābād
tarbiyat-gāheñ haiñ saarī mirī tanhā.ī kī
sirf ā.īna-e-āġhosh-e-mohabbat meñ milī
ek tanhā.ī javābī mirī tanhā.ī kī
saaf hai chehra-e-qātil mirī āñkhoñ meñ magar
mo'tabar kab hai gavāhī mirī tanhā.ī kī
hāsil-e-vasl sifar hijr kā hāsil bhī sifar
jaane kaisī hai riyāzī mirī tanhā.ī kī
kisī hālat meñ bhī tanhā nahīñ hone detī
hai yahī ek ḳharābī mirī tanhā.ī kī
maiñ jo yuuñ phirtā huuñ mai-ḳhānoñ meñ but-ḳhānoñ meñ
hai yahī roza namāzī mirī tanhā.ī kī
'farhat-ehsās' vo ham-zād hai merā jis ne
shahr meñ dhuum machā dī mirī tanhā.ī kī
hui ek KHwab se shadi meri tanhai ki
pahli beTi hai udasi meri tanhai ki
abhi malum nahin kitne hain zati asbab
kitni wajhen hain samaji meri tanhai ki
ja ke dekha to khula raunaq-e-bazar ka raaz
ek ek chiz bani thi meri tanhai ki
shahr-dar-shahr jo ye anjumanen hain aabaad
tarbiyat-gahen hain sari meri tanhai ki
sirf aaina-e-aghosh-e-mohabbat mein mili
ek tanhai jawabi meri tanhai ki
saf hai chehra-e-qatil meri aankhon mein magar
mo'tabar kab hai gawahi meri tanhai ki
hasil-e-wasl sifar hijr ka hasil bhi sifar
jaane kaisi hai riyazi meri tanhai ki
kisi haalat mein bhi tanha nahin hone deti
hai yahi ek KHarabi meri tanhai ki
main jo yun phirta hun mai-KHanon mein but-KHanon mein
hai yahi roza namazi meri tanhai ki
'farhat-ehsas' wo ham-zad hai mera jis ne
shahr mein dhum macha di meri tanhai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.