aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe

Meer Taqi Meer

jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jab naam tirā lījiye tab chashm bhar aave

    is zindagī karne ko kahāñ se jigar aave

    talvār bhī maarā ḳhudā rakkhe hai zālim

    ye to ho koī gor-e-ġharībāñ meñ dar aave

    mai-ḳhāna vo manzar hai ki har sub.h jahāñ shaiḳh

    dīvār pe ḳhurshīd mastī se sar aave

    kyā jāneñ ve murġhān-e-giraftār-e-chaman ko

    jin tak ki ba-sad-nāz nasīm-e-sahar aave

    sub.h qadam-ranja kare Tuk to hai varna

    kis vāste āshiq shab-e-ġham basar aave

    har sar-e-taslīm rakhe said-e-haram haiñ

    vo said-fagan teġh-ba-kaf kidhar aave

    dīvāroñ se sar mārte phirne gayā vaqt

    ab magar aap kabhū dar se dar aave

    vaa.iz nahīñ kaifiyyat-e-mai-ḳhāna se āgāh

    yak jur.a badal varna ye mindīl dhar aave

    sannā.a haiñ sab ḳhvār azaañ jumla huuñ maiñ bhī

    hai aib baḌā us meñ jise kuchh hunar aave

    ai vo ki baiThā hai sar-e-rāh pe zinhār

    kahiyo jo kabhū 'mīr' balā-kash idhar aave

    mat dasht-e-mohabbat meñ qadam rakh ki ḳhizar ko

    har gaam pe is rah meñ safar se hazar aave

    jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe

    is zindagi karne ko kahan se jigar aawe

    talwar ka bhi mara KHuda rakkhe hai zalim

    ye to ho koi gor-e-ghariban mein dar aawe

    mai-KHana wo manzar hai ki har subh jahan shaiKH

    diwar pe KHurshid ka masti se sar aawe

    kya jaanen we murghan-e-giraftar-e-chaman ko

    jin tak ki ba-sad-naz nasim-e-sahar aawe

    tu subh qadam-ranja kare Tuk to hai warna

    kis waste aashiq ki shab-e-gham basar aawe

    har su sar-e-taslim rakhe said-e-haram hain

    wo said-fagan tegh-ba-kaf ta kidhar aawe

    diwaron se sar marte phirne ka gaya waqt

    ab tu hi magar aap kabhu dar se dar aawe

    waiz nahin kaifiyyat-e-mai-KHana se aagah

    yak jura badal warna ye mindil dhar aawe

    sannaa hain sab KHwar azan jumla hun main bhi

    hai aib baDa us mein jise kuchh hunar aawe

    ai wo ki tu baiTha hai sar-e-rah pe zinhaar

    kahiyo jo kabhu 'mir' bala-kash idhar aawe

    mat dasht-e-mohabbat mein qadam rakh ki KHizar ko

    har gam pe is rah mein safar se hazar aawe

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now