kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain
kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain
Qamar Jalalvi
MORE BYQamar Jalalvi
kab merā nasheman ahl-e-chaman gulshan meñ gavārā karte haiñ
ġhunche apnī āvāzoñ meñ bijlī ko pukārā karte haiñ
when did the people in the park, my humble refuge like?
buds in their voices shrill and stark, bid lightning to strike
ab naza.a kā aalam hai mujh par tum apnī mohabbat vāpas lo
jab kashtī Dūbne lagtī hai to bojh utārā karte haiñ
my end is near I'm on the brink, take back the love bestowed
whenever a ship's about to sink, it's prudent to unload
jaatī huī mayyat dekh ke bhī vallāh tum uTh ke aa na sake
do chaar qadam to dushman bhī taklīf gavārā karte haiñ
inspite of seeing my hearse go by, she did not condescend
at such times even foes comply, take trouble to attend
be-vajah na jaane kyuuñ zid hai un ko shab-e-furqat vāloñ se
vo raat baḌhā dene ke liye gesū ko sañvārā karte haiñ
----
----
poñchho na araq ruḳhsāroñ se rañgīnī-e-husn ko baḌhne do
sunte haiñ ki shabnam ke qatre phūloñ ko nikhārā karte haiñ
wipe not the droplets from your face, let beauty's lustre grow
drops of dew when flowers grace, enhance their freshness so
kuchh husn o ishq meñ farq nahīñ hai bhī to faqat rusvā.ī kā
tum ho ki gavārā kar na sake ham haiñ ki gavārā karte haiñ
----
----
tāroñ kī bahāroñ meñ bhī 'qamar' tum afsurda se rahte ho
phūloñ ko to dekho kāñToñ meñ hañs hañs ke guzārā karte haiñ
tho starry climes and sunlit morns, you stay mournful, pining
see these flowers despite the thorns,stay radiant and shining
kab mera nasheman ahl-e-chaman gulshan mein gawara karte hain
ghunche apni aawazon mein bijli ko pukara karte hain
when did the people in the park, my humble refuge like?
buds in their voices shrill and stark, bid lightning to strike
ab naza ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapas lo
jab kashti Dubne lagti hai to bojh utara karte hain
my end is near I'm on the brink, take back the love bestowed
whenever a ship's about to sink, it's prudent to unload
jati hui mayyat dekh ke bhi wallah tum uTh ke aa na sake
do chaar qadam to dushman bhi taklif gawara karte hain
inspite of seeing my hearse go by, she did not condescend
at such times even foes comply, take trouble to attend
be-wajah na jaane kyun zid hai un ko shab-e-furqat walon se
wo raat baDha dene ke liye gesu ko sanwara karte hain
----
----
ponchho na araq ruKHsaron se rangini-e-husn ko baDhne do
sunte hain ki shabnam ke qatre phulon ko nikhaara karte hain
wipe not the droplets from your face, let beauty's lustre grow
drops of dew when flowers grace, enhance their freshness so
kuchh husn o ishq mein farq nahin hai bhi to faqat ruswai ka
tum ho ki gawara kar na sake hum hain ki gawara karte hain
----
----
taron ki bahaaron mein bhi 'qamar' tum afsurda se rahte ho
phulon ko to dekho kanTon mein hans hans ke guzara karte hain
tho starry climes and sunlit morns, you stay mournful, pining
see these flowers despite the thorns,stay radiant and shining
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.