Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main to samjha tha jis waqt mujhko wo milenge to jannat milegi

Anwar Mirzapuri

main to samjha tha jis waqt mujhko wo milenge to jannat milegi

Anwar Mirzapuri

MORE BYAnwar Mirzapuri

    maiñ to samjhā thā jis vaqt mujh ko vo mileñge to jannat milegī

    kyā ḳhabar thī rah-e-āshiqī meñ saath un ke qayāmat milegī

    maiñ nahīñ jāntā thā ki mujh ko ye mohabbat qīmat milegī

    āñsuoñ ḳhazāna milegā chaak dāman daulat milegī

    phuul samjhe na the zindagānī is qadar ḳhūb-sūrat milegī

    ashk ban kar tabassum milegā dard ban kar masarrat milegī

    merī rusvā.iyoñ pe na ḳhush ho merī dīvāngī ko duā do

    tum ko jitnī bhī shohrat milegī sirf merī badaulat milegī

    dil hamārā na toḌo ḳhudā-rā varna kho doge apnā sahārā

    zarre zarre meñ is aa.ine ke tum ko apnī sūrat milegī

    un ke ruḳh se naqāb aaj uThegī ab nazāroñ merāj hogī

    ek muddat se aaj ahl-e-ġham ko muskurāne mohlat milegī

    kaise sābit-qadam vo rahegā us tauba kyā haal hogā

    jis ko sunte haiñ shaiḳh-e-haram se mai-kashī ijāzat milegī

    main to samjha tha jis waqt mujh ko wo milenge to jannat milegi

    kya KHabar thi rah-e-ashiqi mein sath un ke qayamat milegi

    main nahin jaanta tha ki mujh ko ye mohabbat ki qimat milegi

    aansuon ka KHazana milega chaak daman ki daulat milegi

    phul samjhe na the zindagani is qadar KHub-surat milegi

    ashk ban kar tabassum milega dard ban kar masarrat milegi

    meri ruswaiyon pe na KHush ho meri diwangi ko dua do

    tum ko jitni bhi shohrat milegi sirf meri badaulat milegi

    dil hamara na toDo KHuda-ra warna kho doge apna sahaara

    zarre zarre mein is aaine ke tum ko apni hi surat milegi

    un ke ruKH se naqab aaj uThegi ab nazaron ki meraj hogi

    ek muddat se aaj ahl-e-gham ko muskurane ki mohlat milegi

    kaise sabit-qadam wo rahega us ki tauba ka kya haal hoga

    jis ko sunte hain shaiKH-e-haram se mai-kashi ki ijazat milegi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now