Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

Agha Shayar Qazalbash

rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

Agha Shayar Qazalbash

MORE BYAgha Shayar Qazalbash

    rone se jo bhaḌās thī dil nikal ga.ī

    aañsū bahā.e chaar tabī.at sambhal ga.ī

    maiñ ne taras taras ke guzārī hai saarī umr

    merī na hogī jaan jo hasrat nikal ga.ī

    bechain huuñ maiñ jab se nahīñ dil-lagī kahīñ

    vo dard kyā gayā ki mire dil kal ga.ī

    kahtā hai chārāgar ki na pā.egā indimāl

    achchhā huā ki zaḳhm sūrat badal ga.ī

    ai sham.a ham se soz-e-mohabbat ke zabt siikh

    kam-baḳht ek raat meñ saarī pighal ga.ī

    shāḳh-e-nihāl-e-umr hamārī na phal sakī

    ye to hai vo kalī jo nikalte jal ga.ī

    dekhā jo us ne pyaar se aġhyār taraf

    'shā.ir' qasam ḳhudā mirī jaan jal ga.ī

    rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

    aansu bahae chaar tabiat sambhal gai

    main ne taras taras ke guzari hai sari umr

    meri na hogi jaan jo hasrat nikal gai

    bechain hun main jab se nahin dil-lagi kahin

    wo dard kya gaya ki mere dil ki kal gai

    kahta hai chaaragar ki na paega indimal

    achchha hua ki zaKHm ki surat badal gai

    ai shama hum se soz-e-mohabbat ke zabt sikh

    kam-baKHt ek raat mein sari pighal gai

    shaKH-e-nihaal-e-umr hamari na phal saki

    ye to hai wo kali jo nikalte hi jal gai

    dekha jo us ne pyar se aghyar ki taraf

    'shair' qasam KHuda ki meri jaan jal gai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now