Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein rahna tha kunwara bhala kis se pyar hota

Wahid Ansari Burhanpur

hamein rahna tha kunwara bhala kis se pyar hota

Wahid Ansari Burhanpur

MORE BYWahid Ansari Burhanpur

    hameñ rahnā thā kuñvārā bhalā kis se pyaar hotā

    ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā

    tujhe gahrī niiñd aa.e to dabā deñ terā naaḌā

    agar aur jiite rahte yahī intizār hotā

    haiñ hamāre jitne leader sabhī bhuTTe chor kyoñ haiñ

    koī chāra-sāz hotā koī ġham-gusār hotā

    terā ishq hotā bijjū mirī laash noch khātā

    na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā

    tire baap bhī daulat na chhuḌātī ġham se pīchhā

    ġham-e-ishq gar na hotā ġham-e-rozgār hotā

    na kaTā.ī naak ne hameñ e.atibār kab thā

    ki ḳhushī se mar na jaate agar e.atibār hotā

    tirā hāl-e-jazb 'vāhid' ki paḌā hai gutter meñ

    tujhe ham valī samajhte jo na bāda-ḳhvār hotā

    hamein rahna tha kunwara bhala kis se pyar hota

    ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota

    tujhe gahri nind aae to daba den tera naDa

    agar aur jite rahte yahi intizar hota

    hain hamare jitne leader sabhi bhuTTe chor kyon hain

    koi chaara-saz hota koi gham-gusar hota

    tera ishq hota bijju meri lash noch khata

    na kabhi janaza uThta na kahin mazar hota

    tere bap ki bhi daulat na chhuDati gham se pichha

    gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgar hota

    na kaTai nak tu ne hamein eatibar kab tha

    ki KHushi se mar na jate agar eatibar hota

    tera haal-e-jazb 'wahid' ki paDa hai tu gutter mein

    tujhe hum wali samajhte jo na baada-KHwar hota

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now