haram mein wo nahin lutf jo halal mein hai
harām meñ vo nahīñ lutf jo halāl meñ hai
ki murġh-o-māhī kī lazzat hamārī daal meñ hai
fasād jo bhī karātā hai firqā-vārāna
vo bheḌiyā hai magar aadmī kī khaal meñ hai
hai iḳhtiyār ḳhayāloñ meñ chāhe jo bhī kareñ
mazā jo hijr meñ hai vo kahāñ visāl meñ hai
mizāh-o-tanz kā me.aar hai bahut ūñchā
hai zehn-o-fikr kī pastī jo ibtidāl meñ hai
na jaane ye mirā ghar hai ki ġham-kada koī
maiñ ranj meñ huuñ mirī ahliya malāl meñ hai
zamāna chāñd sitāroñ se mutma.in hī nahīñ
hamārī shā.irī aTkī huī jamāl meñ hai
ġharībī kaise haTegī batāo netāo
ġharīb uljhā huā bas isī savāl meñ hai
kalāl luTTī kā qaa.il hai jaam kā saaqī
ye farq zarf kā saaqī meñ aur kalāl meñ hai
nahīñ hai bahr meñ be-vazn hai 'rahīm' magar
hamārī shā.irī sur meñ hai aur taal meñ hai
haram mein wo nahin lutf jo halal mein hai
ki murgh-o-mahi ki lazzat hamari dal mein hai
fasad jo bhi karaata hai firqa-warana
wo bheDiya hai magar aadmi ki khaal mein hai
hai iKHtiyar KHayalon mein chahe jo bhi karen
maza jo hijr mein hai wo kahan visal mein hai
mizah-o-tanz ka mear hai bahut uncha
hai zehn-o-fikr ki pasti jo ibtidal mein hai
na jaane ye mera ghar hai ki gham-kada koi
main ranj mein hun meri ahliya malal mein hai
zamana chand sitaron se mutmain hi nahin
hamari shairi aTki hui jamal mein hai
gharibi kaise haTegi batao netao
gharib uljha hua bas isi sawal mein hai
kalal luTTi ka qail hai jam ka saqi
ye farq zarf ka saqi mein aur kalal mein hai
nahin hai bahr mein be-wazn hai 'rahim' magar
hamari shairi sur mein hai aur tal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.