jab se main sahib-e-kitab hua
jab se maiñ sāhib-e-kitāb huā
dost jal kar mirā kabāb huā
muft meñ maiñ jo dastiyāb huā
merā lākhoñ meñ intiḳhāb huā
saarī ġhazleñ sunā ke chhoḌā hai
is se milnā to ik azaab huā
pahle pāgal hī mujh ko kahte the
shā.iroñ meñ ab injizāb huā
pesh-rau pī ke ḳhuub likhte the
is liye mā.il-e-sharāb huā
jism burqe meñ aur muñh bāhar
be-hayā ye bhī kuchh hijāb huā
Dar ke maare nikal ga.e diide
mere aage vo be-naqāb huā
us ko nākām kar diyā tū ne
apne maqsad meñ kāmyāb huā
jab se ruḳhsat huā shabāb 'rahīm'
tab se maiñ mā.il-e-ḳhizāb huā
jab se main sahib-e-kitab hua
dost jal kar mera kabab hua
muft mein main jo dastiyab hua
mera lakhon mein intiKHab hua
sari ghazlen suna ke chhoDa hai
is se milna to ek azab hua
pahle pagal hi mujh ko kahte the
shairon mein ab injizab hua
pesh-rau pi ke KHub likhte the
is liye mail-e-sharab hua
jism burqe mein aur munh bahar
be-haya ye bhi kuchh hijab hua
Dar ke mare nikal gae dide
mere aage wo be-naqab hua
us ko nakaam kar diya tu ne
apne maqsad mein kaamyab hua
jab se ruKHsat hua shabab 'rahim'
tab se main mail-e-KHizab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.