jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta
jo pūchhā kyā marīz-e-ġham kā darmāñ ho nahīñ saktā
to saale ne kahā hañs kar ke haañ haañ ho nahīñ saktā
bas ab bārah baras ke ho ga.e ḳhatna karā Daalo
musalmānī na ho jis kī musalmāñ ho nahīñ saktā
na hogā qais to us kī jagah ham jā-nashīñ hoñge
ki dīvānoñ se ye ḳhālī bayābāñ ho nahīñ saktā
kaho chāragaroñ se ek dam bāhar nikal jaa.eñ
kabhī un se marīz-e-ġham kā darmāñ ho nahīñ saktā
paḌeñ juute hazāroñ sar pe lekin maiñ na niklūñgā
tere kūche ke ham-sar bāġh-e-rizvāñ ho nahīñ saktā
abe sayyād kyoñ jhūTī tasallī mujh ko detā hai
qafas meñ phuul rakhne se gulistāñ ho nahīñ saktā
shab-e-va.ada jo karnā thā maiñ kartā hī rahā un se
vo kahte hī rahe puurā ye armāñ ho nahīñ saktā
lagā de aag un ke ghar meñ aur dushman ke chhappar meñ
zarā sā kaam tujh se āh-e-sozāñ ho nahīñ saktā
hakīm-o-doctor ko 'būm' sāhab kyoñ bulāte ho
kabhī un se ilāj-e-dard-e-hijrāñ ho nahīñ saktā
jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta
to sale ne kaha hans kar ke han han ho nahin sakta
bas ab barah baras ke ho gae KHatna kara Dalo
musalmani na ho jis ki musalman ho nahin sakta
na hoga qais to us ki jagah hum ja-nashin honge
ki diwanon se ye KHali bayaban ho nahin sakta
kaho chaaragaron se ek dam bahar nikal jaen
kabhi un se mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta
paDen jute hazaron sar pe lekin main na niklunga
tere kuche ke ham-sar bagh-e-rizwan ho nahin sakta
abe sayyaad kyon jhuTi tasalli mujh ko deta hai
qafas mein phul rakhne se gulistan ho nahin sakta
shab-e-wada jo karna tha main karta hi raha un se
wo kahte hi rahe pura ye arman ho nahin sakta
laga de aag un ke ghar mein aur dushman ke chhappar mein
zara sa kaam tujh se aah-e-sozan ho nahin sakta
hakim-o-doctor ko 'bum' sahab kyon bulate ho
kabhi un se ilaj-e-dard-e-hijran ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.