kaTta nahin hai din mera jhagDa kiye baghair
kaTtā nahīñ hai din mirā jhagḌā kiye baġhair
hotā hai ek kaam ye naagā kiye baġhair
aatā hai chain kab unheñ ḳharcha kiye baġhair
chhuTTī kiye baġhair na chillā kiye baġhair
computeroñ meñ feed karo apne ishq ko
rakkheñge yaad ishq ko bhūlā kiye baġhair
sunnat meñ kaam ban gayā ġhālib kā jis ghaḌī
vo chal diye the farz ko puurā kiye baġhair
majmūa apne sarfe se kaise chhapā.ūñ maiñ
chāra nahīñ hai chanda ikaTThā kiye baġhair
vaa.iz ke mashvara pe amal kis tarah kareñ
kahtā hai sirf paḌh ke vo samjhā kiye baġhair
tash.hīr honī chāhiye shā.ir kī har ghaḌī
kaise bhalā chalegā vo charchā kiye baġhair
apne fridge hī meñ rakho apne husn ko
taaza rakhegā husn ko būḌhā kiye baġhair
kaTta nahin hai din mera jhagDa kiye baghair
hota hai ek kaam ye naga kiye baghair
aata hai chain kab unhen KHarcha kiye baghair
chhuTTi kiye baghair na chilla kiye baghair
computeron mein feed karo apne ishq ko
rakkhenge yaad ishq ko bhula kiye baghair
sunnat mein kaam ban gaya ghaalib ka jis ghaDi
wo chal diye the farz ko pura kiye baghair
majmua apne sarfe se kaise chhapaun main
chaara nahin hai chanda ikaTTha kiye baghair
waiz ke mashwara pe amal kis tarah karen
kahta hai sirf paDh ke wo samjha kiye baghair
tashhir honi chahiye shair ki har ghaDi
kaise bhala chalega wo charcha kiye baghair
apne fridge hi mein rakho apne husn ko
taza rakhega husn ko buDha kiye baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.