kya jaane kya likha tha unhen iztirab mein
kyā jaane kyā likhā thā unheñ iztirāb meñ
qaazī ke saath aa ga.e ḳhat ke javāb meñ
laġhzish sī ho ga.ī thī mire intiḳhāb meñ
maiñ kar sakā na farq jo gobhī gulāb meñ
gesū-ba-dosh aa.e the ik roz ḳhvāb meñ
us roz se huuñ aaj talak pech-o-tāb meñ
rahte alag to aish bhī karte alag-alag
maañ baap apne ban ga.e haDDī kabāb meñ
shāyad isī liye thā vo ġharq-e-mutāle.a
tasvīr 'padminī' kī thī chaspāñ kitāb meñ
dekhā ki mujh ko seat minister kī mil ga.ī
chhichhḌe dikhā.ī dete haiñ billī ko ḳhvāb meñ
itne se kaam ke liye kyuuñ duur jā.iye
biknī pahan ke tairiye chashm-e-pur-āb meñ
dil meñ hazār gāliyāñ detā huuñ maiñ unheñ
uThtī nahīñ zabān jo un kī janāb meñ
shāyad koī hasīn hai mahfil meñ ai 'rahīm'
halchal machī huī hai jo har shaiḳh-o-shāb meñ
kya jaane kya likha tha unhen iztirab mein
qazi ke sath aa gae KHat ke jawab mein
laghzish si ho gai thi mere intiKHab mein
main kar saka na farq jo gobhi gulab mein
gesu-ba-dosh aae the ek roz KHwab mein
us roz se hun aaj talak pech-o-tab mein
rahte alag to aish bhi karte alag-alag
man bap apne ban gae haDDi kabab mein
shayad isi liye tha wo gharq-e-mutalea
taswir 'padmini' ki thi chaspan kitab mein
dekha ki mujh ko seat minister ki mil gai
chhichhDe dikhai dete hain billi ko KHwab mein
itne se kaam ke liye kyun dur jaiye
bikni pahan ke tairiye chashm-e-pur-ab mein
dil mein hazar galiyan deta hun main unhen
uThti nahin zaban jo un ki janab mein
shayad koi hasin hai mahfil mein ai 'rahim'
halchal machi hui hai jo har shaiKH-o-shab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.